↪Part--02 🌙SHAB E QADR 🌙
"LAILAUT QADR KI WAJH E TASMIYA"
↘"is muqaddas aur mubarak raat ka name lailatul qadr rakhe jane ki chand hikmaten peshe khidmat hain"
✔Qadr ke mana martabe ke hain is bina par ye kaha jata hai ke is raat ki azmato buzurgi aur Aala martabe ki wajah se iska name lailatul qadr yani Ala martabe wali raat rakha gaya is rat men ibadat ka martaba bhi bahut Ala hai jo koi is raat men ibadat karta hai woh bargaah e ilaahi men qadro manzilat wala ho jata hai aur is rat ki ibadat ka martaba ye hai ke woh hazar mahino se behtar hai - ek aur hikmat lailatul qadr ki ye hai ke is raat men azmato buland martaba wali kitaab nazil huwi hai kitab aur wahee le kar ane wale jibrail alahissalam bhi buland martabe wale hain aur ye azimushshan kitab Qur'an hakeem jis mehboob e rasool صلی اللہ علیہ وسلم par nazil huwi woh bhi badi azmat aur buland martabe wale hain - surat al qadr men is lafz "qadr ke tin martaba ane men shayad yahi hikmat hai -
✔"qadr ka ek mana taqdeer ke bhi hain aur chunke is raat men bandon ki taqdeer ka woh hissa jo is ramzan se agle ramzan tak pesh ane wala hota hai woh muta'alliqa firishton ko sonp diya jata hai - is liye is raat ko shab e qadr kahte hain.
↘"NOOZUL E QUR'AN"
✔Allah ta'ala ne shab e qadr ki bari vajaye fazilat bayan farmai hai ki ye NOOJUL E QUR'AN ki raat hai- Suratul dakhan me irshad e bari ta'ala hai ke Qur'an kareem ko Mubarak raat me najil kiya gaya us Mubarak rat se ba'az mufsrine kiram ne shab e barat murad li hai-aur ye bhi masahoor hai ki Qur'an hakeem 23 baras ki muddat me btarikh najil hua niz uska noozul rabbiul awwal me suru hua- Shah abdul aziz muhddis dehlvi rehmatullah alaiyh ne in aqwal me khub tatewik ki hai voh farmate hai" shab e qadr me Qur'an kareem loh e Mahfuz se yakbargi aasmane duniya par baitul izzat me najil hua jab ke uske najdil ka andaja aur loh e mahfooz ke nigehbano ko us ka nuskha nakal kar ke asmane duniya pr pohchane ka hukum isi saal ke shab e barat me hua-goya Qur'an hakeem ka noozul hakiki mah ramzan me shab e qadr aur noozul e takreeri isse pehle shab e barat me hua- aur saiyed na MUSTAFA ﷺ par Qur'an ka agaaz rabbiul awwal mai pir ke din hua aur 23 saal me mukkamal hua.
📚 Tafseer Azizi. Para 30, S-438
___________________________
📝Post By :-
👑Kaniz-E-Tajusshariya ® GRP👑