Unknown

SHAB E QADR [Part-1]

‎اپنے اختر کا لو سلام شہاہ*
تم پے اے جان اے قرار سلام*

↪Part--01 🌙SHAB E QADR 


🌟Shab e qadr ki fazilat ye hai ke us ke muta'alliq Qur'an e karim men puri surat nazil huwi hai -Irshad e bari ta'ala huwa " beshak ham ne use (Qur'an ) ko shabe qadr men utara - aur tum ne kiya jana shabe qadr kiya hai - shab e qadr 1000 mahino se behtr hai is men firishte aur jibrail utarte hain apne rab ke hukm se har kam ke liye - woh salamati hai subah chamakne tak -

📓Surat Al Qadr - Tarjuma Kanzul Imaan

✳Is Surat se maloom huwa ke shab e qadr aisi ba barkat aur azamt o buzurgi wali wali raat hai :-

💟{1}jo hazar mahino se behtr hai -

💟{2}isi raat men Qur'an e hakim loh e mehfooz se asman e dunya par nazil huwa

💟{3}isi rat men firishte aur jibrail utarte hain

💟{4}isi raat men subah tulu hone tak khair o barkat nazil hoti hai aur ye raat salamati hi salamati hai -

☪SHAB E QADR MILNE KA SABAB ☪

 🌈Imam Malik رضی اللہ تعالی عنہ farmate hain ke Huzur علیہ السلام ne jab pahli ummaton ke logo ki umron par taubah farmai to ap ko apni ummat ke logo ki umre kam maloom huwin - ap ne ye khayaal farmaya ke jab guzashta logo ke mutable men unki umri kam hain to unki nekiyan bhi kam rahengi us par allah ne apko shab e qadr ata farmaai jo 1000 mahino se behtr hai -
📘mauta Imam Malik S-260

🎆Hazrat mujahid رضی اللہ تعالی عنہ farmate hain ke nabi karim صلی اللہ علیہ وسلم ne bani israil ke ek nek shaks ka zikr farmaya jis ne ek hazar maah tak raah e khuda men jihaad ke liye hathyaar uthhae rakhe- sahaba e karam ko is par tajjub huwa to Allah Ta'ala ne ye surat nazil farmai aur ek raat shab e qadr ki ibadat ko us mujahid ki hazar  mahino ki ibadat se behtar qarar diya -

 📚sunan Al Kubra Baihaqi J-4 S- 306.

___________________________
📝Post By :-
👑Kaniz-E-Tajusshariya ® GRP👑