★ Ishq E Rasool Wa Tazeeme Nabi ﷺ ★【Post ~01】
✔ Hadees No. 1
Hazrate Anas رضي الله عنه se marvi hai ki ek dehaati Aadmi Rasoolullah ﷺ ki khidamte Aqdas mein Haazir hua aur pucha Yaa Rasoolullah ﷺ Qayamat Kab Aayegi ? Farmaya tere liye kharabi ho tune Qayamat ke liye kya tayyari ki hai ? Arz kiya Huzoor Maine to tayyari nahi ki lekin main Allah Aur Uske Rasool se muhabbat karta hu farmaya to tum Uske sath rahoge jisse muhabbat karte ho Fir Hum logo ne arz kiya Yaa Rasoolullah ﷺ kya ye sab ke liye hai Farmaya haan . Raawi kehte hai is baat se hum behad khush hue
» Bukhari Jild 2 Kitabul Aadab Safa 911
» Muslim Jild 2 Safa 331
➡ Is Hadees se Achhi tarah se maloom ho gaya ki Sahaba E Kiraam sab ke sab Aashiqane Rasool the isi liye jab unhone ye suna ki jo jisse mohabbat karega wo uske Sath Rahega to wo nihayat khush hue. Ye bhi maloom hua ki wo log muttaqi parhezgaar aur deendar hone ke bawajood Apni nijaat ka zariya mahaz Aamale saaliha ko nahi balqi Mohabbate Khuda wa Rasool ka khayal karte the
➡ Khulasa ye ki jo log deendaar bante hai aur unhe Allah Wa Rasool se muhabbat wa Ishq nahi hai wo galat raaste par hai han wo log bhi dhoke me hai jo khaali Naam ki muhabbat karte hai aur unhe Ahkaame Shariyah ki Qat'an fiqr nahi Haraam wa Halaal mein koi farq nahi Namaz Roza ke paband nahi gunaho me lage rehte hai
● Hashr Mein Nidaa Hogi Ye Gulaam Kiska hai
● Mujhko Dekh kar Keh De Yaa Shahe Zaman Mera
◎To Be Continue......◎