Bidat ke sharai meaning yeh hain ke jo kaam Hazoor صلی اللہ علیہ وسلم ke dour main na tha ab ijaad hua.
Bidat ki kai types hain:-
• Biddat-E-Hasana:
Aisi biddat jisko karna jaiz ho aur jisko kerne se sawab bhi mile.
• Biddat-E-MUBAHA:
Aisi biddat jise karna to jaiz ho laikin es per na he sawab mile na he gunah ho.
• Biddat-E-Dalala:
Aisi biddat jisko karna Najaiz-O-Gunah ho.
Bidat-E-Hasana ka quran se saboot: (ابتدعوها ما کتبنها)
(Sura Hadeed, Verse:27)
tarzuma:
"To yeh baat deen main unho ne apni taraf se nikal, hum ne in per muqarer na ki thi, ha yeh biddat unho ne ALLAH ki raza chahne ko peida ki, to hum ne iman walo ko eska sawab atta kia".
Uperwali ayat se saaf zahir hai ke Bidat-E-Hasana quran se sabit hai, Aap yeh kehna ke her bidat he buri hoti hai eska koi sharai jawaz nahi.Es ayat sey saaf zahir hai ke bidat-e-hasana jaiz hai bal ke achi niyat sey ki gai tou us per sawab hai, Ab baat yeh aati hai ke hadees main hai ke "yakeenan her biddat gumrahi hai", tou aetraz yeh hua ke yeh hadith aur quran ki ayat apus main ikhtilaf ker rahi hain, baat samjhne ki yeh hai ke hadees quran ki ayat se ikhtilaaf nahi ker rahi bal ke hadees ke meaning sahi samjhe nahi ja rahe, AAQA صلی اللہ علیہ وسلم ke matlub es hadees main bidat-e-dalala hai wo bidat wo fitna phelany ke liyay ki gai ho. Eski daleel main ahadees yeh hain:
-"Jub quran ko aik kitab ki shakal main mehfooz kerny ka Hazrat Abu Bakr رضی الله عنہ ke dour main faisla hua tou yeh tajweez Hazrat Umer رضی الله عنہ ney di thi, es per khalifa-e-awl ney fermaya ke aisa kaam kyu kia jai jo AAQA ney apny dour main nahi kia, Hazrat Umer رضی الله عنہ ney jawab dia ke kaam tou naya hai laikin acha hai. (yaani hai tou bidat laikin hasana hai).
-(Sahi Bukhari:1720)
Dosri hadees ke mutabiq jub taravi main IMAM muqarer kernay ka faisla hua tou aik SAHABI ney yehi aetraz kia ke wo kam kyu kerty ho jo AAQA ney nahi kia,
Hazrat Umer رضی الله عنہ ney yehi jawab dia k kaam tou naya hai laikin acha hai(yaani hai tou bidat laikin hasana hai)
(Sahi Bukhari:2629)
-Bidat-e-hasana aik aur jagah aai hai.(Jamei-ul-tirimzi:3103)-
-"Jiss ney bhi deen main koi naya(acha) kaam nikala esko bhi aur jo esko apnai ka dono ko eska ajr milta rahy ga".
-(Sahih Muslim, Book:34, Number 6466)
Eska jawab ke her bidat he buri hoti hai:
Ager her bidat buri hoti hai tou eska jawab dijiyay ke her musalman ka aqeeda hai ke ALLAH عزوجل ke 99 names main sey her naam paak hai, inhe naamo main sey aik naam hai "یَابَدِیُّ" yani naya peida kerny wala, aql sey soocha jai tou kya ALLAH apna naam aik aisa kalima rukhainga jo SHARIAT main mamno ho. Lehaza jo hadees main kaha gaya hai ke her bidat gumrahi hai wo bidat-e-dalala ke liye kaha gaya hai.
Kya Biddat sirf Deen ke kaam main he hoti hai:
Eska jawab yeh hai ke quran aur hadees main kahi bhi dikha dain jahan likha ho ke "DEEN main naya kaam bidat haiAur dunyani kaamo main new changes lana bidat nahi".
Hamara yeh dawa hai ke bidat SHARIAT main deen aur dunia dono kamo main hoti hai, iske mutaliq hadees yeh hai:
Hazrat Ayesha Siddiqa رضی الله عنہا fermati hain:" Sarkar صلی اللہ علیہ و سلَّم ke wisal-e-zahiri ke baad sub se pehli biddat pait bhar kar khany ki paida hui, jub logon ke pait bhar jate tou in ke nufs duniya ki taraf sarkash ho jate.
(Is qaul main biddat-e-hasana murad hai)" .(Quwat-Ul-Quloob, Version:2, Page:327).
,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,