Unknown

SHAB E QADR [Part-3]

↪Part--03 🌙SHAB E QADR 🌙



↘HAZAR MAHINO SE BEHTAR

✔Shab e qadr ki dusri waja e fazilat ye hai ki us raat ki ibadat ka sawab ek hazar mahinon ki ibadat se behtr hai- ye nuqta  qabil e tawajjoh hai ke shab e qadr ko hazar mahino se behtar farmaya gaya magar ye nahi btaya gaya ke hazar mah se kitne darja jake behtar hai(10) das darja (100) se darjah (1000) ya hazar darjah ya us se bhi jayada ek qaul ye bhi hai ke "alif shahar " se muraad (1000)hazar ka muayyan adad nahi hai balke mansoom ye hai ki shab e qadr tamam zamano se afzal hai-ya'ni zayada se jayada tum jitni muddat ka tasswur kar sakte ho shab e qadr us se bhi afzal aur behtar hai--


✔Dusra nukta ye hai ki(1000) hazar mahino ki (83)  saal aur  (4)chaar mah jitne hai- pas agar koi shakhs  (83)  sal aur (4) char mah tak din raat musalsal ikhlas ke sath Allah ta'ala ki ibadat Karen to bhi ek shab e Qadr ki ibadat itni taweel muddat ki ibadat se afzal o behtar hai - jab ke us taweel (lambi) muddat men koi shab e qadr na ho - isi tarh yoon bhi kaha ja sakta hai ki agar koi shakhs shab e qadr men ibadat kare to goya usne  (83)  saal aur  (4) char mah Allah ki ibadat men guzaar diye balke usse behtar ajr milega fir is par bas nahi, agar talab sachi ho to har saal shab e qadr  ho sakti hai goya zara si mehnat aur lagan se kai hazar mahino se zayadah ajr o sawab hasil kiya jaa sakta hai.

↘NAZOOL E MALAIKA

✔Noore Mujassam rehmate aalam ﷺ ne farmaya jab shabe qadr aati hai to Hazrat Jibreel Alaihissalam farishto ke jhurmut men zameen par utarte hain aur us shaksh ke liye dua e rehmat karte hain jo khada ya betha Allah tahla ki ibadat kar rha ho ....

 dusri riwayat men ye bhi hai ki Hazrat Jibreel Alaihisalam aur fariste is shab men ibadat karne walon se musafa karte hain aur unki dua'o pe ameen kehte hain yaha tak ke subah ho jati hai..


✔Ulma farmate hain ki shab e qadr men ibadat karne walon se jab Hazrat  Jibreel Alaihisalam aur farishte salam o musafa karte hain to uski nishani ye hoti hai ki badan ke rongte khade ho jate hain.. dil khashiyat e ilahi se larzne lagta hai aur us par Riqqat taari ho jati hai aur ankho se ansu jari ho jate hain....
Imam razi rahmtullahe alaiyh ne tafseere kabir me farishto ke zameen par utarne ki muta'addid wujooh tahreer farmai hai jin men se chand sutur mulahiza ho:

➡(1) Jab Allah tahla ne farmaya tha ke main zameen men apna khalifa banane vala hun to farishto ne kaha tha ki ye makhlook jamin pe fasad failayegi aur khun rezi kregi -Allah Tahla insaan ki izzat o azmat wazeh karne ke liye faristo ko nazil farmata hai ke jao aur dekho jin ki makhlook tum ne ye kaha tha vo kya kar rahe hai - dekh lo mere bande us raat men bistar w aram ko chhod kar  meri khatir ibadat men masgool hain  aur mujhe razi karne ke liye ansu bahaye duaen mang rahe hain halanke shab beddari un ke liye farz ya wajib nahi balke sunnate moakkidah bhi nahi sirf mere mehboob rasool ki targib dene par ye apni nind wa aram qurbaan karke sari raat qayam par mustaid hain - fir fariste nazil hote hain aur momin ki azmat ko salam karte hain ....

➡(2) Allah tahla ne momin se wada farmaya hai ki jannat men unke pass farishte ayege aur unhe salam karege shab e qadr men faristo ko nazil farmane ki ek hikmat ye bhi hai ki rab ta'ala goya ye batana chahta he aey mere bando agar Tum duniya men meri ibadat men masgool rahe to tumhare pass rahmat ke fariste ayege aur tumhari ziyarat karke woh tumhe salam karege....

➡(3) Allah ta'ala ne shab e qadr ki fazilat o barkat ahle zamin ke liye rakhi jo yahan rab ta'ala ki ibadat kare chunanche fariste uske liye zameen par ate hain taki woh bhi yaha aa kar Allah ta'ala ki ibadat kare aur shab e qadr ke kasir ajro sawab ke mustahiq ho jaen.. iski misal aise hai jaise koi shakhs makka mukkaramma men is niyat se jaye ke waha ibadato ka ajro sawab zayada milta hai isi tarah shab e qadr men fariste zameen par utarte hai.
___________________________
📝Post By :-
👑Kaniz-E-Tajusshariya ® GRP👑