Unknown

Ishq-E-Rasool Wa Tazeeme Nabi ﷺ 【Post -07】

● Ishq E Rasool Wa Tazeeme Nabi ﷺ ●【Post ~07】


✔ Hadees No. 8

Hazrate Abu Ayyub Ansari رضي الله عنه  ka bayan hai Rasoolullah ﷺ mere ghar mehman hue aur main balai (upari)  manzil  mein rehta hu aur Huzoor ﷺ niche wali manzil mein Ek Baar Raat Mein Bedaar hua to ehsas hua ki Main upar chalta hu aur Huzoor ﷺ Niche tashreef farma hai is
khayal se ek kone mein baith kar jaagte hue Raat guzari subah ko Huzoor ﷺ khidmat mein Haazir ho kar Arz ki to Huzoor ﷺ ne irshad farmaya ki nichli manzil mein hume zyada aaram hai Arz kiya Yaa Rasoolullah  ﷺ lekin main is chat par kaise reh sakta hu jiske niche Aap ho iske baad Huzoor ﷺ Upar ki manzin mein tashreef le gaye aur Abu Ayyub Nichli manzil mein rehne lage Huzoor ﷺ ke liye khana tayyar karte Jab Huzoor ﷺ khana tanawul farma lete baad mein khud khate bache hue khane ke baare mein puchte ki Huzoor ﷺ ne kidhar se khaya hai fir khaas isi jagah se khate

» Sahih Muslim Jild 2 Safa 183

➡ Ye us waqt ka qissa hai Jab Huzoor ﷺ Hijrat farma kar Madeena Shareef tahsreef laye aur Shuru mein Aap ka muqaam Hazrate Abu Ayyub Ansari ke makaan mein hua tha
Isse sabaq lena chahiye un logo(Bad Aqeeda ) ko jo sirf Namaz Roza wa ibadat karte hai aur jinko kitabe zindagi me koi Adab wa Tazeeme Nabi ﷺ Nahi hai

★ Aur Tum Par Mere Aaqa Ki Inayat Naa Sahi

✩Najdiyo ! Kalma Padhane Ka Bhi Ehsaan Gaya


◎Topic Over......◎