Unknown

JAMAAT KO TARQ KARNE K SHARAI UZR

●IRSHAADATE AALA HAZRAT [Post: 07]●



»Hamesha Yaad Rahe Ki Ahkaame Ilahi Bajaa Lane Me Mushqil Mashaqqat Kabhi Uzr Nahi Ho  Sakti , Mashaqqate Shaded Uzr Hai .

✅Agar Raat Itni Andheri Hai Ki Masjid Tak Raasta Nazar Nahi Aata Ya Subah Ko Siyaad Badly Moohit Hone Se Ya Kisi Waqt Siyaah Andhi Chalne Aisi Taariqe Hai To Ye Jamaat Me Haazir Nahi Hone Ka Uzr Hai .

Charaag Ya Laalten  Ya Torch Ho Jise Masjid Tak Le Jaa Sake Aur Koi Diqqat Na Ho To Kaisa Bhi Andhera Ho To Jamaat Tarq Karne K Liye Uzr Nahi Ho Sakta.

✳Andhere Me Masjid Ko Jana Bahot Badi Fazeelat Rakhta Hai. Rasoolullah Sallalahu Alaihi Wa Sallam Farmate Hai .

Jo Andheriyo Me Haazire Masjid K Aadi Hai Unhe Bashaarat Do Roze Qayaamat Kaamil Noor Ki .

Jo Masjid Taq Na Jaa Sake Jaise Apaahij, Ya Mareez  Ya Intehaai Kamzor Buhdha Jo Chal Nahi Sake.

 Dared Kamar Wagairah Se Chalne Se Maazoor In Logo Par Jumaa Aur Jamaat Waajib Nahi .
📚Fatawa Razviya  Jild Awwal

🔴Lekin Qurbaan Jaiye Aala Hazrat Ki Pabandiye Jamaat Par .
Aakhri Daur Ka Waaqiya Hai Jab Buzurgi Ka Aalam Tha Koi Na Koi Masjid Tak Sahara Ban Kar Le Jaata Hai .
Ek Din Jab Koi Masjid Tak Le Jane Wala Nahi Tha .To Aala Hazrat Road Par Rengte Hue Masjid Tak Gaye Aur Namaz Baa-Jamaat Ada Kiye.

✩Ye Hai Aala Hazrat Aur Zara Apne Aap Par Gaur Kijiye.. Kitni Aasani Se Hum Jamaat To Kya Namaz Bhi Chod Dete ..Allah Sab Ko Nek Taufeeq De.. Aameen Summa Aameen …


@ To Be Continue .....©