Unknown

WUZU, GUSL , SAJDE ME LOGO KI BE-EHTIYAATIYA

★IRSHAADATE AALA HAZRAT
[Post :08]★



✅Wuzu me kohniyaa ediya kalaiyyo ki baaz baalo ki noke aqsar sukhi rah jaati aur yah to aam bala hai ki mooh dhone me paani maathe se nichle hisse par daalte hai upar bhiga hath chadha kar le jaate hai ki maathe k balai  hisse ka masah hua na gusl aur farz gusl hai , na WUZU hua na NAMAAZ

✅Gusl me farz hai ki paani soongh kar naak k narm bandhe tak chadhaya jaye.

Gour  kar k dekhiye kitne aisa karte hai chullu me paani liya naak kin ok ko lagaya aur samajhte hai ho gaya farz ada ho gaya.

Iska matlab hai har waqt JUnoob ( begusl ) rahte hai. Aise logo ko masjid me jaana HARAAM hai aur namaz dar kinaar.

✅Sajde me farz hai ki kam se kam paanv ki ek ungli yaani anguthe ka pet zameen par laga ho aur paanv aqsar ungliyo ka pet zameen par laga hona waajib hai .

Youn hi naak ki haddi zameen par lagna wajib hai . Bahot se logo ki  naak zameen se lagti hi nahi. aur lagi ho to wahi naak ki nok. yahi tarqe waajib aur gunah  aur aadat faasiq ka sabab hi hua.

✩Paanv ko dekhiye ungliyo k sire zameen par hote hai . kisi ungli ka pet bicha nahi hota aam log to aam log hai bahot imam sahaab bhi iska khayal nahi rakhte.
Sajda baatil.
Namaaz baatil.
Namazi sahaab namaz sahi ho rahi hai samajhkar ghar ko chale jaate hai ….

»📚FATAWA RAZVIYA JILD AWWAL

@ To Be Continue .....©