●IRSHAADATE AALA HAZRAT
[Post :06]●
✳ Huzoor Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ne Jamaat Ki Is Darja Taaqid Farmaai Hai Ki Ek Naabina (Andhe) Khidmat Aqdas Me Haazir Hue Aur Arz Kiye Ya Rasoolullah Sallallahu Alahi Wa Sallam Mere Paas Koi Aisa Nahi Hai Ki Mujhe Hath Pakad Kar Masjid Me Le Aaya Kare, Mujhe Ghar Me Namaz Padhne Ijazat Ataa Ho.
Sarkar Ne Ijazat Farmai Jab Who Ja Rahe The Fir Bulaya Aur Irshaad Farmaya Azaan Ki Aawaz Tumhe Pahochti Hai .
Arz Ki Haan Pahochti Hai.
Huzoor Ne Farmaya To Fir Jamaat Me Haazir Ho .
✅Abdullah Ibne Umme Maqtoom Radi’allahu Ta’aala Anhuma K Yeh Bhi Aankho Se Maazor The.
Haazir Hue Arz Ki Yaa Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam Madina-E-Tayyaba Me Saanp , Bichhoo, Bhediye Bahot Hai Kya Mujhe Ijazat Hai Ki Ghar Me Namaaz Padh Liya Karoo.
Huzoor Ne Farmaya Kya Tum Tak Azaan Ki Aawaz Pahochti Hai , Arz Ki Haa, Farmaya To Haazir Ho .
✅Naabina Ki Atkal Na Rakhta Ho Na Koi Le Jaane Wala Khusoosan Jab Saanp Bhediyo Ka Andesha Ho To Zaroor Rukhsat Hai Magar Huzoor Ne Unhe Afzal Par Amal Karne Ki Hidaayat Farmayi Ki Aur Log Sabaq Le Jo Bila Uzr Ghar Me Padhte Aur Masjid Me Haazir Na Hokar Dalaalat Wa Gumraahi Me Padt Hai Ki Agar Tum Log Apne Nabi Ki Sunnat Chod Doge To Gumraah Ho Jaoge.
⏩Abuu Dawood Me Hai Albaatta Tum Kufr Karoge. Wal Ayaazu Billahi Ta’aala
📚( Fatawa Raziya Jild Awwal )
🔴Allahu Akbar Jab Baa-Jamaat Ki Itni Fazeelat Hai Aur Ahmiyat To Zara Sochiye Namaz Ki Ahmiyat Kitni Hogi.
Aur Hum Aise Hi Naa Jaane Kitni Namaze Chod Dete Hai .
Allah Hum Sab Ko Panj Waqta Baa-Jamaat Namaz Padhne Ki Taufeeq Ata Farmaye..
Aameen Summa Aameen…
@ To Be Continue .....©