Unknown

Itikaf Ka Bayaan Part-4

▫Post--04 ☪Itikaf Ka Bayaan ☪


بسم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلام عليك يا رسول الله ﷺ

▶Sawal-Aurat ke liye Aetikaf kahan mustahab hai

🔄Jawab- Aurat apne ghar hi me Aetikaf kare or us jagah Aetikaf kare jo jagah usne namaz padhne ke liye muqarrar ki hai- Aurat ke liye apne ghar me Namaz padhne ki jagah muqarrar karna mustahab hai- (Ke us jagah wo baari ke dino me zikro durood bhi kar sakti hai)


📚:- Durre Mukhtar, Raddul mukhtar

▶Sawal-Aetikaf Me Parda lagakar baithna kaisa hai.

Jawab- Muatakif ke Liye parde me baithna lazmi nahi hai behtar hai- huzoor صلى الله عليه وسلم  ke liye Raat me un chataiyo'n ko utha kar jo masjid me bichhi huyin thi gher kar 1 hujre ki tarah bna diya jata uske andar huzoor صلى الله عليه وسلم  Ibaadat farmaya karte the.

📚:- waqarul Fatawa,j-2,s-436


🔄 To Be Continue...🔜🔜