▫Post--03 ☪ Itikaf Ka Bayaan ☪
بسم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلام عليك يا رسول الله ﷺ
▶Sawal-Aetikaf Sunnat kise kehte hain
🔄Jawab- Daum Sunnat e Muakkidah k Bisve'n (20) Ramzan ko suraj dubte Aitikaf ki niyat se masjid me ho or tisve'n (30) Ramzan ko guroob ke baad ya 29 ko chand hone ke baad nikle ye sunnat kifaya hai- Yaani agar sab log tark kare'n to sabse mutalba hoga or shaher me 1 ne kar liya to sab bari'uzzama ho gaye.
📚:- Fatawa Aalamgiri,Bahare shariat,j-1,Hissa-5,safa-426
♻In 2 Aetikaf ke liye Rozah Shart hai.
📚:- Raddul mukhtar
▶Sawal-Aetikaf Mustahab Kise kehte hain.
Jawab- Aetikaf ki tisri (3) Qism Mustahab hai jiske na Rozah shart hai or na koi khaas waqt muqarrar hai iski aasan surat ye hai ke jab bhi masjid me dakhil hona chahe to darwaze par wakhule Masjid ki Niyat ke sath Aetikaf ki bhi niyat kare jab tak masjid me rahega Aetikaf ka bhi sawab milega
📚:- Aalamgiri
🔄 To Be Continue...🔜🔜