Unknown

Itikaf Ka Bayaan Part-05

▫Post--05 ☪Itikaf Ka Bayaan☪



بسم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلام عليك يا رسول الله ﷺ

*▶Sawal-Aurat Aetikaf Me Baithi hai jab wo bahar nikalti hai to munh chhipakar nikalti hai Aetikaf ki halat me munh chhipana zaruri hai kya parde ke andar rehna zaruri hai Agar parde me na rahe to kya Aetikaf toot jayega*

🔄Jawab- Mas'ula Surat me Munh chhipana zaruri Nahi hai or na hi parde ae bahar rehne me aetikaf tootega.

📚:- waqarul Fatawa

*▶Sawal-kisi Aurat ko Aetikaf ke dauran haiz aa gya Ab wo Aetikaf ki qaza karna chahti hai iska tariqa kya hai*

Jawab- Aetikaf ki qaza ka tariqa kuch is tarah hai ke haiz se paak hone ke baad agar ramzan sharif ke dinbaqi hain to kisi din Maghrib se pehle qaza Aetikaf ki niyat se agle din guroob Aaftab tak Apni masjid bait me muatakif rahe or isme ramzan sharif ka rozah us qaza aetikaf ke liye kafi hai agar ramzan sharif ka mahina baqi nahi to ksi or din Aetikaf karegi magar usme rozah rakhna bhi zaruri hai.

📚:- Aurton ke masail,page-209

🔄 To Be Continue...🔜🔜