Unknown

Itikaf Ka Bayaan Part-06

▫Post--06 ☪Itikaf Ka Bayaan☪

〰🔸🔹〰🔸〰🔸🔹〰🔹🔸
بسم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلام عليك يا رسول الله ﷺ

*▶Sawal-Aetikaf me Course ki kitabe padhna kaisa hai*

🔄Jawab- Talib e Ilm ke liye sabse behtar Ibaadat apna sabaq yaad karna hai Talibe ilm deen apne Course Ki kitabe Aetikaf me padh sakta hai ye bhi Ibaadat me dakhil hai


📚:- Aurton ke masail,page-210

*▶Sawal-Aetikaf me baithne ke liye kya kya sharait hain*

Jawab- 1-Aurat ke liye shart ye hai ke wo haiz wa nifas or janabat se paak ho. (Bahare shariat,j-1,h-5,$-426)

2-Sunnat Aetikaf shuru karne se pehle zaruri hai ke wo apne baari ke dino ki tarikh (date) note kar le-agar in dino ki tarikh Ramzan ke Aakhri Ashre me aa rahi hai to Aetikaf shuru hi na kare.

📚:- Aurton ke masail,page-210


🔄 To Be Continue...🔜🔜