🔳Huzoor ﷺ Wisaal Ke Baad Bhi Zinda Hai🔳
✔ Hadees No.5
Hazrate Abdullah Bin Abbas رضی اللہ عنہ se marvi hai ki Huzoor ﷺ ke sahaba me se ek sahabi ne ek jagah qabr par khaima laga liya aur unhe khabar na thi ki yahan qabr hai to unhe malum hua ki ye kisi ki qabr hai aur sahibe qabr Surah Mulq ki tilawat kar rahe hai yahan tak ki Unhone puri Surah Tilawat ki ye sahabi Huzoor ﷺ ki Khidat me haazir huye aur Arz ki Yaa Rasoolullah ﷺ maine bhool se ek qabr par khaima lagaya to Maine dekha ki qabr me jo sahab hai wo surah Mulq tilawat kar rahe hai yahan tak unhone puri surah padhi
📓 Tirmiji Jild 2 Safa 112
📘 Mishkat safa 187
➡ Is Hadees Shareef Se malum hua ki Allah Ke Makhsus Bande apni Qabro me Hayaat hai aur wo Apni Qabro me Khuda E Ta'ala ki Ibadat aur Quraane Azeem ki tilawat bhi kar lete hai Yani Inki zindagi Duniya ki tarah hai
🌴 Zamee(n) Maili Nahi Hoti Zaman Maila Nahi Hota
Muhammed Ke Gulamo Ka Kafan Maila Nahi Hota 🌴