Unknown

Huzoor ﷺ Wisaal Ke Baad Bhi Zinda Hai [Part-6]

🔳Huzoor ﷺ Wisaal Ke Bad Bhi Zinda Hai🔳
✔Hadees No.6


 Hazrate Abdullah Bin Abbas رضی اللہ عنہ  se marvi hai ki Rasoolullah ﷺ  arzak ghaati se guzare Farmaya ye kounsi ghaati hai arz kiya gaya Arzak Farmaya goya ke Main Hazrate Moosa عليه السلام   ko dekh raha hu jo pahadi se niche utar rahe hai aur buland Awaaz se Izzo Inkesari ke sath Allah Ta'ala ke liye Hajj ki talbiyah padh rahe hai Fir Huzoor ﷺ  Harsha pahadi par tashreef laye farmaya ye kounsa pahadi ka raasta hai arz kiya gaya iska Naam Harsha hai to Huzoor ﷺ  ne farmaya ke main Mataa ke bete Hazrate Younus عليه لسلام ko ek purgosht surkh Oontni par dekh raha hu wo unka Jubbah pehne hue hai unki oontni ki muhaar khuzoor ki chhaal se bani hui hai aur wo Hajj ke liye talbiyah padh rahe hai
📘 Muslim Jild 1 safa 94

➡ Yaani Jin Ambiya e kiraam ke wisaal ko kayi-kayi Hazaar Saal guzar chuke the inko Huzoor ﷺ  ne Hajj ke liye Talbiyah padhte hue yani Hajj karte hue Mulahija Farmaya (Aankh Se dekha )

🌴 Ambiya Ko Bhi Ajal Aani hai
Magar aisi ki Faqat Aani Hai

Phir Usi Aan Ke Baad Unki Hayaat
Misle Sabiq Wahi Jismani Hai

Ye Hai Hayye Abdi Inko Raza
Sidqe Wada Ki Qaza Mani hai 🌴