Unknown

Huzoor ﷺ Wisaal Ke Baad Bhi Zinda Hai [Part-4]

🔳 Huzoor ﷺ Wisaal ke baad bhi zinda hai 🔳
✔ Hadees No.4 


Hazrate Abuzar Gifari  رضي الله عنه se marvi hai ki Rasoolullah ﷺ ne Meraaj ki shab aasmano me Hazrate Aadam , Hazrate Idrees , Hazrate Ibrahim , Hazrate Moosa , Hazrate Isaa علیہ السلام se Mulakat farmayi aur ye bhi Zikr kiya ke Unhone Hazrate Aadam علیہ السلام se pahle Aasman Par aur Ibraheem علیہ السلام ko chhate(6th) Aasman par paya to Huzoor ﷺ jab Jibraeel علیہ السلام ke sath Hazrate Idrees علیہ السلام ke paas guzre to Unhone Huzoor ﷺ se farmaya ki mubarak ho safare Meraaj inko jo swaaleh Nabi hai Aur Swaaleh Bhai Hai  Fir Huzoor ﷺ Hazrate Moosa علیہ السلام ke paas se guzre to Hazrate Moosa علیہ السلام ne bhi isi tarah mubarak baad di Huzoor ﷺ ne pucha ye koun hai ? to Hazrate Jibraeel علیہ السلا  ne arz kiya Huzoor ﷺ ye Moosa علیہ السلام  Hai . Rasoolullah ﷺ ne farmaya fir main Hazrate Isaa علیہ السلام ke  paas se guzra to unhone  bhi isi tarah mubarak baad di Maine kaha ye koun hai ? Bataya gaya ye Isaa علیہ السلام Hai Bete Mariyam ke , Fir main Hazrate Ibraheem علیہ السلام ke paas se guzra to unhone kaha mubarak baadi hai inke liye jo swaaleh Nabi aur Swaaleh Farzand hai maine kaha koun hai bataya gaya Ye Hazrate Ibraheem علیہ السلام hai

📓 Muslim Jild 1 Safa 93
📘 Mishkat Safa 529
📕 Bukhari Jild 1 Safa 471

➡ Is Hadees Shareef ke ye alfaaz  Muslim Shareef se naql kiye gaye hai iske alawa is mafhoom ki Hadees yani shabe meraaj Huzoor ﷺ  ka Ambiya e kiraam se mulakat dua wa salaam aur baatcheet aur mubarakbaadiya Bukhari aur Muslim Shareef Balqi takreeban sabhi ahadees ki kitabo me mukhtalif muqamaat par mukhtalif alfaz se marvi hai jisse khoob achi tarah sabit hota hai ki Ambiya e Kiraam baade wisaal bhi Apne jismo ke sath Zindah hai aur Zameeno Aasmano me jahan chahte hai rahte hai aate aur jaate hai Balqi is Hadees ke Aakhiri kalamat jo ikhtiyar ke peshe nazar Naql Nahi kiye inme Ye bhi hai ke  Hazrate Moosa علیہ السلام ke kehne par Baar Baar Huzoor ﷺ  ne Rab Ta'ala se Namaz me aasani chahi aur wo 50 se 5 waqt ki hui . In Ahadees ko padhkar ye kehna ki Ambiya wa Awliya Maaz'Allah mar kar fanah ho gaye ya Bilkul Mit gaye ye Imaan walo Ki Boli Hargiz Nahi hai

🌴 Mile The Raah Me Nau Baar Kis LIye Moosa
 Ye Deed e Haq Ka Bahana Huzoor Jante Hai 🌴