GUSL KA BYAAN ; 【Part -16 】
✅Mas'ala :-🚨Jisko nahaane ki zaroorat hai Usko Masjid me jana, Tawaaf karna,
✨Qur'aan shareef chhuna, agarche uska saada hashiya ya jild ya choli chhue, ya bina chhuye dekh kar pade,
🚨Ya zabaani padna,
ya kisi aayat ka likhna
ya aayat ka taweez likhna ya aisa taweez chhuna ya aisi anghuthi pahana jisme muqttayaat hon, haraam hai.
✅Mas'ala :-
✨Agar Qur'aan shareef
juzdaan me ho to zujdaan par hath lagane me haraz nhi, Aise hi Rumal Wagaira kisi kapde se pakadna jo na
apna taabe ho na qur'aan ka to jaiz hai,
🚨Kurte ki aasteen, dupatte ke aanchal se yahan tak ki chadar ka ek kona uske monde par hai to dusre kone se chhuna haraam hai q ki yeh sab uske taabe hai aur choli qur'aan shareef ke taabe hai to uska chhuna haraam hai..
✅Mas'ala :-
✨Jis par Gusl wajib hai use chahiye ki nahaane me der na kare hadees me hai ki jis ghar me junubi (Napaak shakhs chahe jo koi ho aurat mard etc) ho usme rahmat ke firishte nhi aate aur agar itni der kar chuka ki namaaz ka aakhiri waqt aa gaya to fouran nahaana farz hai q ki agar der karega to gunahgar hoga,
🚨Aur agar khana khana chahta hai ya aurat se jimaa karna chahta hai to wuzoo kar le ya hath dho le ya kulli kar le aur agar waise hi kha pee liya to gunah nhi magar makrooh hai aur muhtaajee lata hai aur bina nahaaye ya bina wuzoo kiye jimaa kar liya to bhi gunaah nhi magar jisko ihtilaam hua ho bina nahaaye use aurat ke paas jana na chahiye.
📘Bahare shariat
✅Mas'ala :-
✨Ramzaan me agar Raat ko junub hua to acha yehi hai ki Farz tuloo hone se pahle Nahaa le taki Roze ka har hissa janaabat se khaali ho,
🚨Aur Agar nhi nahaaya to bhi Roza ho hi jayega magar acha yeh hai ki garara kar le aur naak me jarh tak pani chadha le,
✨Yeh 2no kaam farz se pahle kar le ki Roze me na ho sakenge aur nahaane me itni der kar di ki din nikal aaya aur namaaz qaza kar di to yeh aur dinon me to gunaah hai hi,
🚨Ramzaan me to aur zyada.
📘Bahare shariat
♻CONTINUE
طالِبِ دُعا💟
جماعت رضا ء مصطفے ﷺ ٰ
💟Jamat Raza E Mustafa ﷺ