Unknown

GUSL KA BAYAAN 【Part - 17】

GUSL KA BYAAN ; 【Part -17 】


🚨Be wuzoo ko Qur'aan majeed ya uski Aayat ka chhuna haraam hai,
Bina chhuye zubani dekh kar pade to haraz nhi,

✅Mas'ala :-

✨Rupye par Aayat likhi ho to us sabko yani be wuzoo walon jin par Nahaana zaroori hai aur haiz aur nifaas waliyon ko uska chhuna haraam hai,

🚨Haan thaili(PLATE) me hon to thaili Uthana jaiz
hai,

✨Aise hi jis Bartan ya Glass par surah ya aayat likhi gai ho uska bhi chhuna haraam hai aur uska istemaal sab Makrooh magar jabki khaas sifaa ki niyat ho.

(Sifaa ke liye glass ho to jaiz hai)

✅Mas'ala :-

🚨Agar Qur'aan ki aayat duaa ki niyat se ya tabarruk ke liye pade jaise

BISMILLAH HIR RAHMANIR RAHEEM

✅Tarjuma :

✨ALLAH KE NAAM SE SHURE JO BAHUT MEHARBAN RAHMAT WALA,

🚨Yaa ALLAH T'ALA ka shukr adaa karne ya chheenk ke baad pade,

 ALHAMDULILLAHI
RABBIL A'ALAMEEN

✅Tarjuma :

✨SAB KHUBIYA ALLAH KO JO MALIK SAARE JAHAN WALON KA,

🚨Yaa pareshani me

INNA LILLAHI WA INNA ILEHI RAJI'OON,

✅Tarjuma :

✨HUM ALLAH KE LIYE HAIN AUR HUMKO USSI KI TARAF FIRNA [WAPAS HONA] HAI,

🚨Yaa aaytul kursi ya surah e hashr ki peechhli 3 aayatein pade, Aur sab sooraton me Qur'aan shareef padne ki niyat na ho to kuch haraj nhi

✨Jabki napaaki ki haalat me ho, aur paaki me yeh sab jaiz hai wuzoo me Qur'aan ka chhuna jaiz, bewuzoo haraam hai,haan dekh kar bina chhuye zubani padi to jaiz hai

🚨Aise hi 3no qul bagair qul ke ka lafz shamil karke nhi pad sakta (napaaki me) agarche sanaa (tareef) hi ki niyat se ho q ki is surat me unka qur'aan hona tay hai isme niyat ko kuch dakhil nhi.

📘Bahare shariat

✅Mas'ala :-

✨Qur'aan shareef ka Faarsi, Urdu, Hindi ya aur Kisi Zubaan me Tarjuma ho to uska bhi chhone ka wohi hukm hai jo Qur'aan shareef ka hai, (yani napaak aur be wuzoo ko qur'aan shareef ka chhoona haraam hai)

✅Mas'ala :-

🚨Qur'aan shareef dekhne me un sab par kuch harz nhi Agarche Huroof par nazar padhe aur Alfaaz soojh me Aayein aur khayaal me padhe jayein,

✅Mas'ala :-

✨Aur un sab ko fiqh,
Tafseer aur Hadees Shareef ki kitaabon ka chhona Makrooh hai aur agar unko kisi kapde se chhona chahe agarche usko pahne ya aodhe hue ho to haraz nhi magar un kitaabon me aayat k jagah hath rakhna haraam hai,

✅Mas,ala :-

☑Touraat,

☑Zaboor,

☑Injeel

🚨ko be wuzoo ya napaaki ki haalat me padhna aur chhoona makrooh hai,

✅Mas,ala :-

✨Durood shareef aur duaao ke Padhne me Unhe kuch Harz nhi magar yeh ki Wuzoo ya kulli kar ke padhe,

✅Mas,ala :-

🚨Un sab ko azaan ka jawab dena jaiz hai.

📘Bahare shariat

♻THE END

طالِبِ دُعا💟
جماعت رضا ء مصطفے ﷺ ٰ
💟Jamat Raza E Mustafa ﷺ