Unknown

GUSL KA BAYAAN 【Part - 15 】

GUSL KA BAYAAN ; 【Part -15 】


✅Mas'ala :- 
🚨Hajj karne wale par 10wi zilhijja ko 5 gusl hai, 
1⃣Muzdalfaa me thaharne, 

2⃣Minaa me daakhil hone,
3⃣Jamre par kankariyaan marne, 

4⃣Makke me daakhil hone, 

5⃣KA'ABA SHAREEF me Tawaaf karne ke liye gusl hai,
✨Jabki 3, 4, aur 5. 
Yeh Teen Peechhle kaam bhi 10wi hi ko karein aur Juma'a ka Din hai to Juma'a ka gusl karein Aise hi agar Arfa ya Eid juma'a ke din pade to yahan walon par 2 gusl hai, 
✅Mas'ala :- 
🚨Jis par chand gusl hon sab ki niyat se gusl kar liya to sab adaa ho jayenge aur sabka sawaab milega. 
📘Bahare shariat 
✅Mas'ala :- 
✨Agar kisi par Gusl wajib ho aur usne abhi Gusl nhi kiya hai aur isi beech use haiz Shuroo ho gaya to chahe ab Nahaa le ya Haiz khatm hone ke baaad nahaaye use ikhtiyaar hai, 
✅Mas'ala :- 
🚨Agar kisi par Gusl wajib ho aur woh Juma'a ya Eid ke din Nahaaya aur juma'a aur eid Wagairah ki niyat kar to sab adaa ho gaya aur usi gusl se Juma'a aur Eid ki namaaz padh sakta hai. 
📘Bahare shariat 
✅Mas'ala :- 
✨Aurat ko Nahaane ya Wuzoo ke liye Pani khareedna padhe to Uski Qeemat Shouhar ke jimme hai jabki Aurat par Wuzoo aur Gusl wajib ho ya badan se meil door karne ke liye nahaaye. 
📘Bahare shariat
♻CONTINUE 

طالِبِ دُعا💟
جماعت رضا ء مصطفے ﷺ ٰ
💟Jamat Raza E Mustafa ﷺ