GUSL KA BAYAAN ; 【Part -14 】
♈GUSL KIN CHEEZON SE FARZ HOTA HAI ?
🚧FAAYDA :-
🚨Nahaana farz ho usko Junub aur us Asabaab (Wajahon) ko janaabat
(Napaaki ki haalat) kahte hai.
✨Haiz se paak hona,
🚨Bachcha Paida hua aur khoon bilkul na aaya to sahi yeh hai ki Gusl wajib hai...
✅Mas'ala :-
✨Kafir mard aur Aurat par
Nahaana Zaroori tha isi haalat me 2no Musalman hue to sahi yeh hai ki un
par gusl wajib hai,
🚨Haan Agar Islam
lane se pahle Gusl kar chuke hon ya kisi tarah tamaam badan par pani bah gaya ho to sirf naak me upar tak pani chadana kafi hai,
✨KYU ki yehi woh cheez
hai jo kafiron se adaa nhi hoti,
🚨Pani ke bade bade ghunt pine se kulli ka farz Adaa ho jata hai aur agar yeh bhi baqi rah gaya ho to use bhi kare,
✨Garaz jitne aaza (jism ka har hissa) Gusl me dhulna farz hai,
🚨Jimaa (Humbistaree) wagaira asbaab ke baad agar woh sab kufr ki haalat me hi Dhul chuke the to islam lane ke baad dobara Gusl zaroori nhi warna
jitna hissa baqi ho utne ko dho lena..
✨Farz aur Mustahab to yeh hai ki islam ke Baad pura gusl kare.
✅Mas'ala :-
🚨Musalman Mayyat ko Nahlaana Musalmano par Farze Kifaaya hai Agar ek ne nahla diya to sabke sar se Utar gaya aur Agar kisi ne nhi nahlaya to sab gunahgaar honge,
✅Mas'ala :-
✨Pani me Musalman ka Murda Mila Uska bhi Nahlana farz hai fir Agar nikaalne wale ne gusl ke iraade se murde ko Nikaalte waqt gota diya to Gusl ho gaya nhi to ab nahlaaye,
📘Bahare shariat
♻CONTINUE
طالِبِ دُعا💟
جماعت رضا ء مصطفے ﷺ ٰ
💟Jamat Raza E Mustafa ﷺ