Unknown

AQEEDA-E-TAUHEED【Part-10】


●"IMAM-E-KABEER ABDUL QAHIR BIN TAAHIR TAMIMI BAGHDADI" (rehmatullahialaihi) farmatay hyn
"واجمعوا علی انہ لا یحویہ مکان و لا یجری علیہ ز مان"
tarjuma >
"sab ka i'jma hy ki "ALLAH" ko na koi makaan ghayr sakta hy na "US" par koi zamana jari ho sakta hy"
»»
(الفرق بین الفرق، AL FARQO BAINAL-FIRQ, PAGE-333)


●"HAAFIZ IMAM ABUL HASAN ASHA'ARI" (raziallahuanhu) jo bila kisi ikhtilaf k "AHL-E-SUNNAT WAL JAMA'AT" k IMAM hyn
"WOH" irshaad farmatay hyn
"من اعتقد ان اللہ جسم فہو غیر عارف بربہ و انہ کافر بہ"
tarjuma >
"jis ka yah aqueedah ho ki "ALLAH" ka jism hy, woh apnay "RABB" say na'waqif aur "ALLAH" ka munkir hy"
»»(ANNAWADIR)

●"IMAM MUTWALLI SHAFA'I" (raziallahuanhu) غنیہ میں irshaad farmatay hy'n
"ALLAH" k liye aisi cheez saabit kiya jo bil-ittifaq "ALLAH" say mana hy, jaisay rang ya "ALLAH" k liye ittisal-infisal maana to bayshak kaafir ho gaya"
»»(GUNYA, BA-HAWALA > الرو ضہ AR'RAUZA, PAGE-10/24, PRESS-BEIRUT, TASNEEF-IMAM NAVVI)

●"AR'BAAB-E-TAREEQAT K PAYSHWA HAZRAT SAIYYAD KABEER RIFA'I" (raziallahuanahu) tehreer farmatay hy'n
"غا یت المعریفتہ با للہ الا یقان بو جدہ بلا کیف ولا مکان"
"ALLAH" ki intihai ma'arifat yah hy k bagair kisi kaif-o-makaan k "US" k ujood ka yaqeen rakha jaye"
(البر ہان المئوید، AL-BUR'HANUL MO'AWID)
««

🔃To Be Continue..↔🔜