Unknown

AQEEDA-E-TAUHEED【Part-09】


●"SHAIKH IBN-E-HAJAR HAITAMI" (alaihir'rehma) farmatay hy'n
"jaanna chahiye "QARAFI" (قرافی) wagairah "U'LMA-E-ISLAM" nay "IMAM SHAFA'I, IMAM MAALIK, IMAM AHMAD, IMAM-E-AAZAM" (rahimuhumullah) say naqal kiya hy ki "ALLAHTA'ALA" k liye jihat-o-jism ka qail kaafir hy aur woh kufr ka hi mustahiq hy"
(مقدمہ حضر میہ کی شرح المنہا ج القو یم MUQADDAMA HIJRIMIYA KI SHARH AL-MINHAJ-UL-QAVIM, PAGE-224)


●"IMAM JAAFAR SADIQUE" (raziallahuanhu) nay aisa hi famaya hy, jaisa ki "IMAM QUSHAIRI" nay "AR'RISALAH" may rawayat kiya hy ki
"jis nay "KHUDATA'ALA" ko kisi cheez may say ya kisi cheez par ghuman kiya woh mushrik ho gaya, q ki agar "WOH" (ALLAHTA'ALA) kisi may ho to mahsoor (ghira) hoga, aur kisi par ho to mahmool hoga, aur kisi say ho to haadis (khatm honaywali) makhlooq ho jayega"

●isi haq aqueedah par I'JMA "IMAM-UL-HARIMAIN ABDUL MO'ALI ABDUL MAALIK" say manqool hy "WOH" APNI kitab may farmatay hy'n
"tamaam AHL-E-HAQ ka mazhab yahi hy ki "ALLAH" makaan aur jihat may honay say paak hy"
»»(AL-IRSHAAD, PAGE-58)

🔃To Be Continue..↔🔜