Unknown

AQEEDA-E-TAUHEED【Part-07】


●"IMAM BEHQI" (alaihir'rehma) nay "APNI" kitab "AL-AI'TIQAD WAL HIDAYA, PAGE-72" may yah tehreer farmaya
"is aqueedah par momino ka i'jma hy, jaisa ki IMAM NAVVI nay SHARH-E-MUSLIM, JILD-5, PAGE-24, MATBU'A DARUL FIKR, BEIRUT may manqool hy"


●"HAZRAT IMAM QAZI AYAZ MAALIKI" (raziallahuanhu) farmatay hy'n
"ki sabhi musalmano may chahay mohaddis ho ya faqeeh, ilm-e-kalaam ka imaam ho ya fann-e-munajra ka maahir ho ya muqallid ho kisi ka b is baaray may koi ikhtilaf nahi hy ki woh tamaam "A'IMMA-E-ISLAM" aur "U'LMA-E-ISLAM" thay"

●jaisa ki "MOHADSIS IBN-E-JAUZI HANMBALI" (alaihir'rehma) farmatay hy'n
"misl to us ki bayaan ki jati hy jo mislwala ho "ALLAH" ki shaan kaisa kaisay kaha ja sakta hy ?, jab ki kaifiyat "ALLAH" k liye mu'haal hy, bhala aao-haam us ka khayal kaha say kar saktay hyn aur aqlayn us ki hadd kaisay kar sakti hyn ??"

aur farmatay hy'n
"jis nay "KHUDA" ki kaifiyat bayaan ki us nay "KHUDA" ko pehchana hi nahi, jis nay "US" ki misl bayaan ki us nay "ALLAH" ki i'badat hi nahi ki, tashbeeh bayaan karnaywalay ki baseerat kho gai hy, aur us ko mu'attal samajhnay wala andha hy"
(AL-MUD'HASH, PAGE-131, PRESS-DARUL JEEL)

🔃To Be Continue..↔🔜