Unknown

AQEEDA-E-TAUHEED【Part-06】


●"AYAT-E-MUTASHABAYHAT" AUR "AHADEES-E-KAREEMA" KO "UN" K ZAAHIR PAR RAKHNA HARGIZ JAIZ NAHI

●JIS NAY "USAY" ZAAHIR PAR RAKHA US NAY "QUR'AN-E-PAAK" KO JHUTLAYA AUR UMMAT-E-MUSLIMA KI I'JMA SAY WOH KHAARIJ HO GAYA


●isiliye "SHAIKH-UL-ISLAM WAL MUSLIMEEN IMAM BEHQI" (alaihir'rehma) farmatay hy'n
"itna jaanna zaroori hy ki "ALLAHTA'ALA" ka istawa kaji say seedha hona nahi hy aur na kisi maqaam par theherna hy, aur na kisi makhlooq say mila hona hy, ha "ALLAH" "APNAY" arsh par bagair kisi kaif-o-makaan k mustawi hy, jaisa ki "US" nay "KHUD" khabar di aur "US" ka aana nahi aur na hi kisi harkat k zareeya hy aur "US" ka nuzool muntaqil ho kar nahi aur "US" ka jism koi nafs nahi aur na "US" ka wajh (chehra) koi soorat aur na "US" ka haath koi a'zu aur na "US" ki aankh koi putli wagairah ki, BAS IN SAB AUSAAF KA SUBOOT SHARI'AT MAY HY, ISILIYE HAM UN KA QAUL KARTAY HYN, LAYKIN KAIFIYAT KI NAFI KARTAY HYN"

●q ki "ALLAHTA'ALA" farmata hy

"SUREH-SHO'RA, AYAT-11"
"US jaisa koi nahi"

aur

"SUREH-IKHLAAS, AYAT-4"
"aur na US k jod ka koi"

aur

"SUREH-MARIYAM, AYAT-65"
"kya US k naam ka doosra jaantay ho ?"

🔃To Be Continue..↔🔜