Unknown

Ishq-E-Rasool Wa Tazeeme Nabi ﷺ 【Post -04】

● Ishq E Rasool Wa Tazeeme Nabi ﷺ ●【Post ~04】
✔ Hadees No. 5


Hazrate Abu Huzaifa رضي الله عنه kehte hai ki Dophar ke Waqt Huzoor ﷺ Hamare paas tashreef laaye to Aap ﷺ ke liye wuzoo ka paani laaya gaya Aap ﷺ ne Wuzoo farmaya to log Aap ﷺ ke wuzoo ke paani ko lekar apne Jismo par malne lage Fir Aap ﷺ ne Zuhar Ki 2 Raka'at Namaz Padhi aur Asr ki Bhi 2 Raka'at Namaz Padhi aur Aap ﷺ ke Saamne Neza tha Hazrate Abu Moosa Ash'ari farmate hai ki Rasoolullah ﷺ ne ek pyaala maanga Jisme paani tha pehle Aap ﷺ ne Apna Munh aur Apne Haatho ko usme Dhoya aur Isme Kulli farmayi aur fir Hum Dono ( Hazrate Abu Moosa Ash'ari aur Hazrate Bilal رضي الله عنهم  ) se Farmaya is paani ko piyo aur isko Apne chehro aur seeno par daal do

» Bukhari Jild 1 Safa 31

➡  Ye Ek Safar Ka Kissa tha Jisme Huzoor ﷺ Ne Zuhar Aur Asr ki 2 Raka'at bataur Kasar Adaa farmayi thi aur maqaame Ji'arrana mein Aap ﷺ ka qayaam tha aur Bukhari Shareef mein Dusri jagah hain ki jab Wuzoo Ka Dhowan aur kulli kiya hua paani Huzoor ﷺ ne ataa farmaya aur ye dono Hazraat jab is paani ko bataure tabarruk pi rahe the aur apne chehre aur seene par daal rahe the to Ummul Momineen Sayaddena Umme Salma رضي الله عنها jo kheme ke andar se ye mulahija farma rahi thi Unhone farmaya Thoda Apni Maa Yani mere liye bhi bachaye rakho

➡ Hadees ke Alfaz ye hai ki Hazrate Umme Salma رضي الله عنها ne parde ke pichhe se Aawaz lagayi ki thoda mere liye bhi bachalo to unhone thoda paani unke liye bachaya

» Bukhari Jild 2 Safa 620

★ Jinke Talwo ka Dhowan Hai Aabe Hayaat
★ Hai Wo Jaane Maseeha Hamara Nabi


◎To Be Continue......◎