Unknown

AQEEDA-E-TAUHEED【Part-03】



♡guzishta msg may AAP nay padha ki "ALLAHTA'ALA" ki zaat kin-kin cheezo say paak hy aur un tamaam cheezo ko "ALLAHTA'ALA" k liye saabit karna sakht haraam hy

●q ki in tamaam cheezo say hadd aur miqdar laazim aata hy aur miqdari cheez makhlooq hoti hy

●jaisa ki "ALLAHTA'ALA" ka irshaad hy
"har cheez US k paas 1 andazay say hy"
(SUREH-RA'AD, AYAT-8)

●aur yah b ma'aloom hona chahiye ki lambai-chaudai, shakl-o-soorat wagairah ka jo tasawwur hota hy "ALLAHTA'ALA" k ta'alluq say us k khilaaf aqueedah rakhna musalmano k liye zaroori hy

●la-raib (bila kisi shak k) "AHL-E-SUNNAT" ka aqueeda yah hy ki "ALLAHTA'ALA" k liye na koi kaifiyat ho sakti hy aur na hi koi miqdar-o-makaan

●q ki "JIS" ki koi misl na ho "US" k liye yah kehna jaiz hi nahi hy ki "WOH" kaisa hy ????

●aur "JIS" k liye koi adad na ho "US" ki shaan-e-aqdas may yah kehna "WOH" kitna hy ???, kitna kehna na-jaiz hy,

●aur "JIS" k liye na koi makaan ho aur na koi awwal (shuru) ho "US" ki shaan may yah kehna jaiz nahi ki "WOH" kaha tha aur kis say tha ????

●isliye ki "JIS" nay makaan aur kaifiyat ko banaya "US" k liye makaan aur kaifiyat saabit nahi ho sakta

●LIHAZA "ALLAHTA'ALA" TAMAAM NUQOOS-O-U'YUB, AAFAT, MUSEEBAT, HAAJAT, ZAROORAT SAY PAAK HY

●JISM-O-JISMANIYAT, HARKAT-O-SUKOON AUR MUTTASIF HONAY SAY BALATAR HY

🔃To Be Continue..↔🔜