Unknown

AQEEDA-E-TAUHEED【Part-02】



 AHL-E-SUNNAT WAL JAMA'AT" ka aqueedah

●khalf-o-salf tamaam musalmano ka aqueedah bila kisi shak-o-shubah aur taraddud k yahi hy k
"ALLAHTA'ALA"
saaray jaha ka khaaliq (paida karnaywala) hy, bazaat-e-khud qaim hy, har kisi say bay'niyaz hy

●LIHAZA HAM SAB "ALLAH TA'ALA" KAY MOHTAJ HYN

●1 lamha b "ALLAH TA'ALA" say bay'niyazi nahi aur "WOH" kisi b makhlooq ka mohtaj nahi, aur makhlooq ki i'badat say na "USAY" koi nafa hy aur na hi koi nuksaan

●"ALLAHTA'ALA" kisi mahal aur makaan ka mohtaj nahi aur na hi "ALLAHTA'ALA" jism aur johar hy

●harkat-o-sukoon, aana-jana, makaan may hona, ijtima aur juda, musafat ka qareeb aur door, ittisal (milna) aur infisal (juda) jism aur miqdar-e-jism-o-jussa, shakl-o-soorat, atraf-o-jihat, kammiyat aur kaifiyat, gosha aur kinara wagairah

●IN TAMAAM CHEEZO SAY "ALLAHTA'ALA" KI ZAAT PAAK-O-MUNAZZAH HY (jab ki WAHABI in tamam ko "MAAZALLAH" "ALLAH SUBHANAHU" k liye saabit mantay hyn)

●IN TAMAAM CHEEZO KO "ALLAHTA'ALA" K LIYE SAABIT KARNA HARGIZ-HARGIZ JAIZ NAHI AUR SAKHT HARAAM HY

🔃To Be Continue..↔🔜