Amad ~e~ Sarkar ﷺ
Part= 06
🌀Sawaal no 4:-
Kya huzoor ﷺki wilaaat ki khushi manane par faaidah pahonchta hai ?
☀Jawab👇🏻
ji haan abu leheb jo kufr ki halat me'n mara uska maamla ye tha ke us ne rasool ﷺ ki basat* ke baad apni baaki mandah* zindagi islaam aur paigamber e islaam ki mukhalifat me'n guzari lekin uske marne ke baad
Rasool ﷺ ke chacha hazrat abbas radiallahu taala anhu ne us ko khuwab me'n dekha _aap radiallahu taala anhu
ne us se pucha ke marne ke baad tujh par kya guzri?
قَالَ اَبُو لَھَبٍ لَم اَلقِ بَعدَ کُم خَیرًا اِنَّی سُقِیتُ فِی ھَذِہِ بِعِتَا قَتی ثَوَیبَةَ
📝( صحيح بخارى ، باب وامهاتکم اللانی ارضعتكم ، رقم الديث : 5101 )
Usne jawab diya ke mai din raat sakht azaab me'n mubtala hun lekin jab peer ka din aata hai to mere azaab me'n kami kardi jaati hai
aur meri unglion se paani jaari hota hai jise peekar mujhe sukoon milta hai azaab me'n is kami ki wajah ye hai ke mai ne peer ke din apne bhatije (محمد ﷺ )ki wilaadat ki khush khabri sun kar apni khaadima sobiya ko in unglion ka ishaara karte huwe azad kar diya tha
🔴ye waqiya hazrat zainab bint abi salma se marvi hai jise mohaddise'n ki badi tadadat ne dafa milad ke baab me'n naql kiya hai sahi bukari se riwayat hai urwa'h ne bayaan kiya hai ke sobiya abu'lahab ki azad karda bandi thi abu'lahab ne ise azad kiya to us ne nabi kareem صلی اللہ علیہ و سلم ko dudh pilya.
📝صحيح بغاری باب وامھتکم اللانی از ضغکم رقم الحدیث 5101)
فَلَمَّا مَاتَ اَبُو لََهبٍ فََراَهُ بَعضُ اَهلِهِ بِشَرً حَيبٍَة قَالَ لَهُ مَاذَ الَِقيتَ ؟ قَالَ اَبُو لَهبٍ لَم اَلقِ بَعدَ کُم خَيرِ اِنَّى سَقِيتُ فِى هَذِهِ بِعِتَا قَتِى ثَوَيبَ○َة
pas jab abu'lahab mar gaya to us ke baz ahle khana ko woh bure haal me'n dekhaya gaya. us se(yaani abu'lahab se) pucha:-
ke tune kya paaya? abu'lahab bola maine tumare baad koi rahat nahi payee siwaye iske ke sobiya' ko aazad karne ki wajha se ungli se pilaya jaata hai.
📝صحيح بغاری باب وامھتکم اللانی از ضغکم رقم الحدیث 5101)
🔴shaikh abdul haq mohaddis dahlvi(985.1052 ھ ) is riwayat ko bayan karne ke baad likhte hai
ye riwayat muaqa e milad par khushi manane aur sadqa khairat karne walo'n ke liye daleel aur sanad hai abu'lahab jis ki mazamat me'n quran paak me'n ek mukammal surah naazil huwi jab woh huzoor صلی اللہ علیہ و سلم ki wiladat ki khusi mai lundi ko azad karke azab mai takhfif hasil kar sakta hai to us Musalman ki khush nasibi kaa kya aalam hoga jo apne dil men mohabbat e rasool صلی اللہ علیہ و سلم ki wajah se miladdun nabi صلی اللہ علیہ و سلم ke deen mohabbat aur aaqidaat kaa izhar kare.
(مدارج النبوةجلد 2 صحفہ 19)📝
💐dosto zara gaur karo abu'lahab jaise kaafir ko jab miladd un nabi صلی اللہ علیہ و سلم par khushi manane par faida mila to hum Ashiqane Mustafa صلی اللہ علیہ و سلم Kya mahrum rahe sakte hai?
🔃To Be Continue..↔🔜