Amad ~e~ Sarkar
🔹🔹🔹Part = 05🔹🔹🔹
🌀Sawal no 3:-
Kya sahaba E keeram رضوان اللہ عنہم ne kabhi milad ke mehfil munaqeed ki?
☀Jawab:-👇🏻
Ji haa imam bukhari ke ustaad imam ahmed hambal likhte hai Sayyadna Muviya رضی اللہ عنہ farmate hai.
1 roz rasool صلی اللہ علیہ و سلم ka apne ashaba ke halqe se guzar huwa aap صلی اللہ علیہ و سلم ne farmaya Kyu baithe ho?
قَالُواجَلَسنَا نَدعُو اللَّهَ وَنَحمَدُهُ عَلَى مَا ھَدَانَاﷺ لِدِينِهِ وَمَنَّ عَلَینَا بِکَ قَالَ اللہ ما اجلسکم إلا ذلک قالو آللَّه مَا أَجلَسَكُم إﻻَّ ذَلِک قَالَ أَمَا إِنِّى لَم آَستَحلفُكُمِ تَُهمَةً لَکُم وَإِنََّما أتَانِی جِبرِیلُ عَلَیهِ السَّﻻَمُ َفََأخبََرنِی أَنَّ اللَّه عَزَّوَجَلَّ یُبَاھِی بِکُمُ المَﻻَ ئِکَةَ
Unhone kaha hum Allah azwajal kaa zikr karne aur us ne hame jo islam ki hidayt ata farmayi Aur us ne Aap Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam Ko Bhej Kar Jo hum par Ahsan Kiya Hai is par hamd o sana bayan karne aur is kaa shukr ada karne ke liye baithe the.
Aap ne farmya Allah ki qasam kya tum isi ke liye baithe the sahaba ne arz kiya Allah ki qasam ham isi ke liye bethe the.
Is par aap صلی اللہ علیہ و سلم ne farmya abhi mere pass جبرئیل علیہ السلام aaye the unhone kaha ke ALLAH tumhari wajah se farishto par fakhar kar Raha hai.
(سن نسائ باب کَیفَ یَستَحلِفُ الحَاکِمُ حدیث 5453 المعجم الکبیر للطبرانی حدیث 16057)
Isi hadees se sabit hua ke Sahaba Huzoor صلی اللہ علیہ و سلم ki milad par shukriya ada karte the.
🌀Yaha ye baat qabil zikr hai ke jo log Huzur aqdas صلی اللہ علیہ و سلم ki milad ki mahefil sajate hai aur us mai shareekh hote hai Allah aise bando'n par faristo ki jamaat mai fakr farmata hai .
☀Aur haan Huzur aqdas صلی اللہ علیہ و سلم ka zikr Allah hi Zikr hai is par Quran Aur Huzur ki hadeese'n shaheed hai.
🔃To Be Continue..↔🔜