Unknown

Aamad-e-Sarkar ﷺ Part-04


Amad ~e~ Sarkar ﷺ
🔹🔹🔹Part~04🔹🔹🔹


🌀Sawal No 2:-

Kya aap sabit kar sakte hai ke Rasool Allah صلی اللہ علیہ و سلم ne apni milad ko manaya hai?

☀Jawab:-

Ji haa hadees ko mulahiza farmaye 👇🏻


Hazrat Abu Qatada'h ‏ رضی اللہ عنہ ne farmaya ke Rasool E Akram صلی اللہ علیہ و سلم se peer ke deen roza rakhne ke bare mai pucha gaya ko aap صلی اللہ علیہ و سلم ne irshad farmya.

فَقَالَ فِيهِ وُلِدتُ وَفِيهِ اُنزِلَ عَلَىَّ

☀Tarjuma:-
        Isi roz  meri wiladat howi hai Isi roz Quran nazil kiya gaya.

(صحيح مسلم : باب اَستِحبَابِ صِيَامِ ثََلاثِِه اَيَّامِ مِن کُلِّ شَهرٍ وَصَومِ يَومِ عَرَفََتَه  َوعَاشُورَاء ﷺﷺ وَلا ثنَينِ وَلخَمِيسِ حديث 2708  سنن ابو داؤد باب فِى صَومِ الدَّهرِ تَطَوُّع 2428 مسند امام احمد بن حنبل ابن فتاوى الانصارى حديث 23215)

Is hadees Se sabit huwa ke Rasool Allah صلی اللہ علیہ و سلم ne
har peer ke roz roza rakh kar apni milad kaa khud ahtemam kiya hai.

lihaza sabit huwa ke deen muqarar kar ke yaad gaar manana sunnat hai .

Alhamdulillah

🔃To Be Continue..↔🔜