Unknown

Aamad-e-Sarkar ﷺ Part-03


Amad e Sarkarﷺ
Part~03
🌹MILADDUN NABI صلی علیہ و سلم   PAR KIYE GAY SAWALAT AUR IN KE JAWABAT🌹


🌀Sawal No 1:-
kya quran majeed se aamad e rasool صلی علیہ و سلم par khushi manane ki daleel de sakte hain?

☀Jawab:-👇🏻
Ji haa Allah paak quran majeed me'n irshad farmata hai.


قُل بَِفضلِ اللهِ وَبَِرحمَتِهِ
       
☀Tarjuma. aye habib aap farma dijeye ke Allah ke fazl aur is ki rahemat milne par muslamanu ko chaiye ke khusiya manaye'n.

 📝(sure younus aayat no 58)

is aayat mai ye hukum diya gaya hai ke Jaha Allah kaa fazl aur is ke rahemat nazil ho to momino ko is par khusiya manani  chaiye ab kisi zaheen mai ye sawal aa sakta hai ke kya Rasool Allah صلی علیہ و سلم Allah ki rahemat hain?

jo hum in ki aamad par khushiya manayen.is kaa jawab bhi khud quran de raha hai. mulahiza kare.
وَمَا اَرسَلنَکَ اِﻻَّ رَحمَةً لَّلعَلَمِينَ
''hum ne tumhe nahi bheja magar rahemat sare jahan ke liye.''

📝(sure ambiya aayat no 107)

alhamdulillah Rasool E Arbi صلی علیہ و سلم ka is duniya me'n tashreef lana rahemat hai aur pahle Aayat mai Allah paak hame Husool e rahmaat par khusiya manane kaa hukum de raha hai ab batau muslamano'n Rasool Allah ‏ صلی اللہ علیہ و سلم ki zaat e mubarak se badh kar rahemat kaun ho sakta  hai to milladun nabi صلی اللہ علیہ و سلم par khushiya Kyu naa manayi jaye?

Allahmdulla quran ki in aayato se aamad rasool صلی اللہ علیہ و سلم  par khushiya manana sabit hua

🔃To Be Continue..↔🔜