Unknown

WUZU KA BAYAAN【PART-02】
















✴WUZU KA BAYAN✴



🌀Part 02

✴HADEES

💠Sahi Muslim mein Uqba Ibne Aameer رضي الله عنه se marwi hai ki HUZOOR E Aqdas ﷺ farmate hain

♻Jo musalman wuzoo kare aur acha wuzoo kare fir khadha ho aur zahir aur batin se Allah Ta'Ala ki taraf dhyaan dekar 2 rak'at padhe to uske liye jannat wajib ho jati hai.
📜Bahare shariat


✴HADEES

💠Muslim sharif mein Hazrate Ameerul Momineen Farooqe Aazam Umar Ibne Khattab رضي الله عنه ne farmaya se riwayat hai ki

♻Rasool Allah ﷺ ne farmaya ki tumme se jo koi wuzoo kare aur kaamil wuzoo kare fir padhe

✴Tarjuma

💠Main gawahi deta hu ki Allah ke siwa koi mabood nahi aur main gawahi deta hun ku Hazrat Muhammad ﷺ uske bande  aur uske rasool hain.

♻To uske liye jannat ke 8thon darwaze khol diye jate hain jis darwaze se chahe dakhil ho.
📜Bahare shariat

✴HADEES

💠Tirmizi mein Hazrate
Abdullah Ibne Umar رضي الله عنه se riwayat kiya ki Huzoor e Akram
 ﷺne farmaya ki jo momin aadmi wuzoo par wuzoo kare uske liye 10 nekiyaan likhi jayengi

♻Wuzoo par wuzoo se muraad zaid wuzoo ki haalat me pahle se tha aur namaaz padhne ke liye fir wuzoo kare)
📜Bahare shariat

✴HADEES

💠Ibne Khuzaima apne sahih me Rawi hai ki Abdullah Ibne Bureeda apne waalid se riwayat karte hain ki ek din subah ko

♻Huzoor Aqdas ﷺ ne Hazrate Bilaal رضي الله عنه ko bulaya aur farmaya ki aye Bilaal is amal (kaam) ke sabab tu jannat me mujhse aage aage chal raha tha, Main raat ko jannat gaya to teri paao'n ki Aahat apne aage paai,

💠Hazrate Bilaal رضي الله عنه ne arz kiya Ya Rasool Allah ﷺ Jab main azaan kahta hu to 2 rak'at Namaaz padh liya karta hu aur mera jab kabhi wuzoo toot'ta wuzoo kar liya karta, Huzoor ﷺne farmaya "isi wajah se"
📜Bahare shariat

✴HADEES

♻Tirmizee wa Ibne Maaja mein Saeed Ibne Zaid رضي الله عنه se rawi Huzoor e Aqdas ﷺ ne farmaya ki jisne BISMILLAH nhi padhi uska wuzoo nhi yani pura wuzoo nhi,?

💠Uska ma'ani yeh hain jo dusre hadees me irshad farmaya,

✴HADEES

♻Daare Kutnee aur Baihaqee mein Abdullah Ibne Masood  رضي الله عنه se rawi ki Huzoor ﷺ ne irshad farmaya hai ki jisne BISMILLAH kah kar wuzoo kiya uska sar se paao'n tak sara badan pak ho gaya aur jisne bagair BISMILLAH wuzoo kiya uska utna hi badan paak hoga jitne par pani guzra.
📜Bahare shariat

🎯CONTINUE.

✳ طالِبِ دُعا:-
جماعت رضا ء مصطفے ﷺ ٰ باندرہ (ممبئی)

✳Jamat Raza E Mustafa ﷺ Bandra (Mumbai)