HADEES
💠Sahi Muslim mein Hazrat Abu Huraira رضي الله عنه se marwi hai ki Huzoor Sayyade Aalam ﷺ ne sahaba se irshad farmaya ki kya main tumhe aisi cheez na bata dun ki jiske sabab Allah Ta'Ala khataae muaaf kar de aur darje baland kare,
♻Sahaba ne arz kiya haan Ya Rasool Allah ﷺ ,
💠Huzoor ﷺ ne farmaya jis waqt wuzoo Nagawaar ho us waqt achi tarah pura wuzoo karna aur masjidon ki taraf jana aur ek namaaz ke baad dusri namaaz ka intezaar karna iska sawaab aisa hai jaisa kafiron ko sarhad par islami shahron ki himayat ke liye ghodha bandhne ka sawaab hai.
📜Bahare shariat
✴HADEES
♻Imaam Malik wa Nasai Abdullah Sunaabihee رضي الله عنه se rawi Rasool Allah ﷺ Farmate hain Musalmaan banda jab wuzoo karta hai to kulli karne se uske muh ke gunah gir jate hain aur jab naak me pani daal kar naak saaf kiya to naak ke gunaah nikal gaye aur muh dhoya to chehre ke gunah nikale yahan tak ki palakon ke nikale aur jab hath dhoya to hath ke nikale yahan tak ki hathon ke nakhoon se nikale aur jab sar ka masah kiya to sar ke gunah nikale yahan tak ki kaanon se nikale aur jab paao'n dhoye to paao'n ki khataae nikali yahan tak ki nakhoonon se fir uska masjid jana aur namaaz is par zyada sawaab hai.
📜Bahare shariat
✴HADEES
💠Bazzaz ne Hasan Asnaad ke sath riwayat ki ki Hazrate Usmaan Gani رضي الله عنه Apne gulam se wuzoo ke liye pani manga aur sardi ki raat me bahar jana chahte the,
♻Hamraan kahte hain main pani laya unhone muh hath dhoye to maine kaha Allah aapko kifayat kare raat to bahut thandi hai us par unhone farmaya ki maine Rasool Allah se suna hai ki jo banda achi tarah pura wuzoo karta hai Allah Ta'Ala uske agle peechle gunah bakhsh deta hai.
📜Bahare shariat
✴HADEES
💠Tabrani ne Ausat mein Hazrate Ameerul Momineen Moula Ali رضي الله عنه se riwayat ki ki Huzoor ﷺne farmaya Jo sakht sardi me kaamil wuzoo kare uske liye doonaa sawaab hai.
📜Bahare shariat
✴HADEES
♻Imaam Ahmad Ibne Hambal ne Hazrat Anas رضي الله عنه se riwayat ki ki Huzoor ﷺne farmaya ki Jo ek baar wuzoo kare to yeh zaroori baat hai aur jo do baar kare to doona sawaab hai aur jo teen baar dhoye yeh mera aur agle NABIYON ka wuzoo hai.
📜Bahare shariat
🎯CONTINUE
✳ طالِبِ دُعا:-
جماعت رضا ء مصطفے ﷺ ٰ باندرہ (ممبئی)
✳Jamat Raza E Mustafa ﷺ Bandra (Mumbai)