Unknown

WUZU KA BAYAAN【PART-03】















✴WUZU KA BAYAN✴







🌀PART 03

🌕WUZU ME MISWAK KI AHEMIYAT

✴HADEES

💠Imaam Bukhari aur Imaam Muslim Hazrate Abu Huraira رضي الله عنه se riwayat karte hain ki Rasool Allah صلی علیہ و سلم farmate hain

♻Jab sokar uthe to wuzoo kare aur Teen(3)  Baar Naak saf kare q ki shaitan uske Nathne par raat guzaarta hai.
📜Bahare shariat


✴HADEES

💠Tabrani baeesnaade Hasan Hazrate
Ali رضي الله عنه se rawi ki Huzoor Aqdas
  صلی علیہ و سلم ne farmaya ki agar yeh baat na hoti ki
 meri ummat par shaaq (Bhari) hogl to main unko wuzoo ke sath miswaak karne ka hukm farma deta

♻(Yani farz kar deta aur kuch Riwayaton me Farz ka lafz bhi aaya hai) .
📜Bahare shariat

✴HADEES

💠Tabraani ki ek riwayat me hai ki Sayyade Aalam صلی علیہ و سلم us waqt tak kisi Namaaz ke liye tashreef na le Jate jab tak ki miswaak na kar lete.
📜Bahare shariat

✴HADEES

♻Sahi Muslim Shareef mein Hazrate Aaisha Sidiqqa رضي الله عنها se Riwayat hai ki Huzoor Aqdas صلی علیہ و سلم bahar se jab ghar Tashreef late sab se pahla kaam miswaak karna hota.
📜Bahare shariat

✴HADEES

💠Imaan Ahmad Hazrate Ibne Umar  رضي الله عنه se rawi hai ki Huzoor e Aqdas
 صلی علیہ و سلمne farmaya ki miswaak ka intezaam
Rakho ki woh sabab hai muh ki safaai aur Rab Tabaarak Wa Ta'Ala ki raza ka.
📜Bahare shariat

✴HADEES

♻Abu Naeem Hazrate Jabir
 رضي الله عنهse rawi ki Huzoor E Akram صلی علیہ و سلمne farmaya ki 2 rak'atein jo miswaak karke padhi jayein bina miswaak ki 70 Rak'aton se afzal hain.

✴HADEES

💠Ek aur riwayat me hai ki jo namaaz miswaak karke padhi jaye woh us namaaz se 70 hisse afzal hai Jo bina miswaak ke padhi jaye.
📜Bahare shariat

🎯CONTINUE

✳ طالِبِ دُعا:-
جماعت رضا ء مصطفے ﷺ ٰ باندرہ (ممبئی)

✳Jamat Raza E Mustafa ﷺ Bandra (Mumbai)