Unknown

↪PART- 07 🎯Ramzan Sharif Ke Masle Masail🎯


〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

☀⚠Sehri wa iftar ka bayan ~

🌀Hadees-Hazrat Anas raziallahu taalaanhu se riwayat hai ke Huzoor e aqdas sallal laahu alaihi wasallam ne farmaya"sehri khao k sehri khane me barkat hein"

🌟Hadees-Hazrat Abdullah ibne Umar radiallahutaala anhu se riwayat hai k Huzoor Akram Sallal laahu alaihi wasallam Ne Farmaya"Allah aur uske Farishte Sehri khanne walon par Durood Bhejte hain.

🌀Hadees-Hazrat Abu Saeed khudri radiallahu taala anhu se riwayat hai ki Huzoor Sallal laahu Taala Alaihi wasllam ne farmaya"Sehri kul barkat hai use na chhodhna agarche ek ghoont pani bhi peele kyunki sehri khaane walon par Allah aur uske Farishte durood bhejte hai"


🌟Hadees-Hazrat Sahal bin Sa'ad radiallahu taala anhu se riwayat hai ke Huzoor e Aqdas Sallal laahu alaihi wasallam ne farmaya hamesha log khair ke saath raheinge jab tak iftar mein jaldi karenge.

🌀Hadees-Hazrate Abu Hurairah radi allahu taala anhu se riwayat hai ke Huzoor sallal laahu alaihi wasallam ne farmaya k Allah Taala ne farmaya mere bandhon mein mujhe zyada pyaara woh hai jo iftar mein jaldi karta hai.

🌟Hadees-Hazrate Salman Bin Amir radiallahu taala anhu se riwayat hai ke Huzoor e Aqdas Sallal Laahu alaihi wasallam ne irshad farmaya jab tumme se koi rozah iftaar kare to khujoor ya chhohare se iftar kare k woh barkat hai agar woh na mile to pani se k woh paak karne wala hai.

🌀Hadees-Huzoor e Aqdas sallal laahu alaihi wasallam Iftar ke waqt ye dua padhte

اَللّٰهُمَّ لَكَ صُمْتُ وَعَلىٰ رِزْقِكَ اَفْطَرْ تُ

📖Abu Dawood📖

🌟Masla-Sehri Khana aur usme taakhir karna mustahab hai magar itni taakhir makhrooh hai k subah ho jaye .

🌀Masla-Iftar me jaldi karna mustahab hai magar iftaar uss waqt kare k gurub ka gaalib gumaan ho jab tak gumaan gaalib na ho iftar na kare agarche mu'azzin ne azan keh di hai aur baadal ke dino mein iftar mein jaldi na kare.

🌟Masla-Baaz log fajr ki azaan tak sehri khaate rehte hai unka roza nahi hota.

🌀Masla-Subah sadiq tak sehri kha sakte hai magar ehtiyaatan 5 minute pehle khaana pina mauqoof kar dena behtar hai.

🌟Masla-Kisi bhi roze ke liye sehri shart nahin ye jo awaam mein mashoor hai k nafli roze ke liye sehri zaroori hai iski koi asl nahi balke bagair sehri bhi roza ho jayega.

📕Fazail Wa Masail Ramzanul Mubarak📕

✏Hafeez o Qari Hazrat Dilshad Ahmed sahab qibla khatib o imam bangla masjid mahim, opp mahim sharif stn under supervision of Mufti Mehmoodul Ulama Mufti Mehmood Akhter razvi sahab qibla khateeb o imam Haji Ali Kinara Masjid.


🔃TO BE CONTINUE....💝
__________________________