Unknown

↪PART- 06 🎯Ramzan Sharif Ke Masle Masail🎯


〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

☀⚠Taraweeh ka bayan~

🌀Masla-Taraweeh mard wa aurat sabke liye sunnat e muakkida hai iska tark jaayez nahi.

🌟Masla-Jamhur ka mazhab ye hai k taraweeh bees (20) rakatein hain aur yehi ahadees se sabit hai.

🌀Masle-Taraweeh ka waqt isha ke farz padhne ke baad se subha sadiq nikalne tak hai.

🌟Masla-Taraweeh mein jamaat sunnat e kiffaya hai k agar masjid ke sab log chhodh denge to gunehgar honge aur agar kisi ek (1) ne ghar mein tanha padhli to gunehgar nahin.


🌀Masla-Taraweeh masjid mein ba jamaat padhna afzal hai agar ghar mein jamaat se padhi to jamaat ke tark ka gunaah na hua magar woh sawaab na milenga jo masjid mein padhne ka tha.

🌟Masla-Agar fout ho jaayen to inki qaza nahi aur agar qaza tanha padhli to taraweeh nahin balki nafl mustahab hai.

🌀Masla-Taraweeh mein ek(1) baar quran e majid khatm karna Sunnat e muakidda hai Logon ki susti ki wajah se khatam ko tark na kare.

🌟Masla-Agar muqtadiyon par girami ho to tashahaud ke baad

 "      اَللّٰهُمَّ صَلِّ عَلىٰ مُحَمَّدٍ وَّاٰلِهٖ "

⚠Par iktefa kare.

🌀Masla-Agar ek (1) Quran khatam karna ho to behtar hai k sattaiswi (27) shab me khatam ho phir agar iss raat mein ya iske pehle khatm ho to taraweeh aakhir ramzan tak baraabar padhte rahe k sunnat e muakkida hai.

🌟Masla-Afzal ye hai ke ek imaam ke peeche taraweeh padhe aur do (2) ke peeche padhna chaahe to behtar hai k poore tarawih par imaam badle maslan aanth(8) ek (1) ke peeche aur 12 doosre ke.

🌀Masla-Ramzan sharif mein vitr jama'at ke sath padhna afzal hai khwah usi imaam ke peeche jis ke peeche isha wa taraweeh padhi hai ya doosre ke peeche.

🌟Masla-Ye jaayez hai ke ek shaks isha wa vitr padhaye doosra taraweeh.

🌀Masla-Agar isha jamat se padhe aur taraweeh tanha to vitr ki jamat me sharik ho sakta hai.

🌟Masla-Agar isha tanha padhli agarche taraweeh ba jamaat padhi to vitr tanha padhe.

🌀Masla-Muqtadi ko ye jaayez nahin ke baitha rahe jab imaam rukoo karne ko ho khadha ho jaye k ye munafiqeen se mushabahat hai, Allah Taala irshad farmata hai "munafiq" jab namaz ko khade hote hain to thake ji se.
📖surah e nisa aayat no142📖

🌟Masla-Taraweeh ramzan ki har shab mein bees(20) rakaat sunnat e muaqidda hai baaz log ye kehte hai ke che(6) din ya 10 din mein poora quran sharif sun kar poore ramzan taraweeh nahin padhte woh gunehgaar aur fasiq hai. woh ramzan ul mubaraq ki baqiya (baaqi) raaton mein bhi taraweeh padhe.

⚠Lukma Dene Ke Masail

🌀Masla-Imaam Agar Bhool Jaaye To Luqma Dena Jaayez Hai Sur Agar Imaam Ne Luqma Le Liya To Uss Par Sajda e Sahu Nahin.

🌟Masla-Fauran Luqma Dena Makrooh Hai Thoda Tawaqquf (Theherna) Chaahiye Ke Shayed Imaam Nikal Le.

🌀Masla-Imaam Ko Makrooh Hai Ke Muqtadiyon Ko Luqma Dene Par Majboor Kare Balki Kisi Doosri Sureh Ki Taraf Muntaqil Ho Jaye Ya Doosri Aayat Shuru Karde Bashart Ye K Uska Wasl Mufside Namaaz Na Ho.

🌟Masla-Qari (Imaam) Ko Pareshaan Karne Ki Niyyat Se Luqma Dena Haraam Hai.
(Fatawe Razwiya)

📕Fazail E Masaile Ramzanul Mubarak📕

✏Hafiz O Qari Hazrat Dilshad Ahmed Qadri Sahan Khateeb O Imaam Bangla masjid near Raheja Hospital under supervision of Mufti Mehmoodul Ulama Mufti Mehmood Akhter Razvi Sahab Qibla Khateeb o Imam Haji Ali Kinara Masjid.


🔃TO BE CONTINUE....💝
__________________________