Unknown

↪PART- 08 🎯Ramzan Sharif Ke Masle Masail🎯


〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

☀⚠Kin Halaaton Mein Rozah Na Rakhne Ki Ijaazat Hai ~

🌀Masla
🌟Safar Wa Hamal (Pregnancy) Aur Bachcha Ko doodh Peelana Aur Marz Aur Budhapa Ye Sab Rozah Na Rakhne Ke Liye Uzr Hain Inn Wujooh Se Koi Rozah Na Rakhe To Gunehgaar Nahin

🌀Masla
🌟Safar Se Muraad Safar e Sharaiy Hai Yaani Itni Door Jaane Ke Iraada Se Nikle K Yaha Se Waha Tak 92 Kilometer Ya Usse Zyaada Ho.

🌀Masla
🌟Din Mein Safar Kiya To USS Din Ka Rozah Iftaar Karne Ke LIYE Aaj Ka Safar Uzr Nahin Albatta Agar Todhega To Kaffara Laazim Na Hoga Magar Gunehgaar Hoga



🌀Masla
🌟Hamal wali (pregnancy) Aurat KO Apni  Jaan Ka Khauf Ho To Ijaazat  Hai K Wo Uss Waqt Na Rakhe

🌀Masla
🌟Mareez ko Marz Badhjaane Ya Der Mein Achcha Hone Ya Tandrust ko Bimaar Ho Jaane Ka Gumaane Gaalib Ho To Inn Sabko Ijaazat Hai K USS Din Rozah Na Rakhe

🌀Masla
🌟Inn Surton Mein Gaalib Gumaan Ki Qaid Hai Mehez Weham(khyaal) Kaafi Nahin

🌀Masla
🌟Kisi Kaafir Ya Faasiq Doctor Ke Kehne Par Rozah Todhna Jaayez Nahin Agar Todhega To Kaffara Laazim Aayega

🌀Masla
🌟Jin Logo Ne Inn Uzro Ke Sabab Rozah Todha Unpar Farz Hai k Inn Rozo Ki Qaza Rakhe Magar Hukm Ye Hai K Uzr Jaane K baad Doosre Ramzaan Aane Se PEHLE Qaza Rakhle.

🔵Hadees Mein Farmaya Jis par Peechle Ramzaan Ki Qaza Baaki Hai Aur Wo Na Rakhe Uske Iss Ramzaan Ke Roze Qubool Na Honge Aur agar Roze Na Rakhe Aur Doosra Ramzaan Aa Gaya To Ab Pehle Iss Ramzaan Ke Roze Rakhle Qaza Na Rakhe(Yaani Ramzaan Ke Baad Rakhe)

🌀Masla
🌟Khud Uss Musafir Ko Aur Uske Saathwale Ko Rozah Rakhne Mein Zarar(Nuqsaan) Na Pahunche To Rozah Rakhna SAfar Mein Behtar Hai Warna NA Rakhna Behtar

⚠Roze Ke Fidya Ke Masail

🌀Masla
🌟Har Roze Ka Fidya Baqadre Sadqae Fitr Hai(Yaani 2 Kilo 50 gm Gehu Ya Uski Qeemat)

🌀Masla
🌟Shaikhe Faani yaani Budha jiski Umr Aisi Ho Gayi K Ab Roz Baroz Kamzor Hi Hota Jaayega Jab WoH Rozah Rakhne Se Aajiz Ho Yaani Na Ab Rakh Sakta Hai Na Aainda Usme Itni Taaqat Aane Ki Koi Ummeed Hai K Rozah Rakh Sakega Use Rozah Na Rakhne ki Ijaazat Hai Aur Har Roze Ke Badle Mein Fidya Yaani Dono Waqt Ek Miskeen Ko Bhar Pet Khana Khilana Uss Par Wajib Hai Ya Har Roze Ke Badle Mein Sadqae Fitr Ki Miqdar Miskeen Ko De De.

🌀Masla
🌟Agar Aisa Budha Garmiyon Mein Ba Wajah e Garmi(Garmi Ki Wajah Se) Ke Rozah Nahin Rakh Sakta Magar Jaadho(Sardi) Main Rakh Sakega To Ab Na Rakhe Aur Inke Badle Ke Jaadho Mein Rakhna Farz Hai.

🌀Masla
🌟Agar Fidya Dene Ke Baad Itni Taaqat Aa Gayi K Rozah Rakh Sakega To Fidya Sadqae Nafl Hokar Reh Gaya Unn Rozon Ki Qaza Rakhe.

📕Fazail Wa Masail Ramzanul Mubarak📕

✏Hafeez o Qari Hazrat Dilshad Ahmed Sahab Qibla Khatib o Imam Bangla Masjid Mahim, Opp Mahim Sharif stn under Supervision of Mufti Mehmoodul Ulama Mufti Mehmood Akhter Razvi Sahab Qibla Khateeb o Imam Haji Ali Kinara Masjid.


🔃TO BE CONTINUE....💝
__________________________