Unknown

↪PART- 05 🎯Ramzan Sharif Ke Masle Masail🎯


〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

☀⚠Roze ke makhroohat ka bayan ~

🌀Hadees-Hazrat Abu Hurairah raziallahutaala anhu se riwayat hai k Huzoor Sallallaahu alaihi wasallam ne farmaya"Jo boori baat kehna aur uspar amal karna nahi chhodhe to Allah taala ko uski kuch haajat nahi k usne khana pina chhodh diya hai.

📕Bukhari,Tirmizi Sharif📕

🌟Hadees-Hazrat Abu Hurairah raziallahu taala anhu se riwayat hai ki Huzoor sallallaahu alaihi wasallam ne irshad farmaya "rozah uska naam nahi ke khaane peene se baaz rehna ho, rozah to ye hai k bekaar aur behooda baton se bacha jaaye.



📗Haakim📗

🌀Masla-Jhoot , geebat, chugli,gaali dena behooda baat kisi ko takleef dena k ye cheezein waise bhi na jayez o haraam hai roze mein aur zyaada haraam aur inki wajah se roze me karahat aati hai.

🌟Masla-Rozhdar ko bila uzr kisi cheez ka chakhna ya chabana makrooh hai.

🌀Masla-Chakhne ke liye uzr ye hai k maslan kisi aurat ka shouhar bad mijaaz hai k namak kam wa yaada hoga to naraaz hoga to iss wajah se chakhne mein harj nahi.

🌟Masla-Chakhne ke wo maana nahin ke jo aaj kal aam rivaaj hai yaani kisi cheez ka majah maloom karne ke liye usme se thoda kha lena k yu to karahat kaisi rozah hi toot jayega,balki kaffara ke sharait paaye jaye to kaffara bhi lazim hoga.

🌀Masla-Chakhne se murad ye hai k zubaan par rakhkar mazah maloom karle aur use thook de uss me se halaq mein kuch na jaana paaye warna rozah toot jayega.

🌟Masla-TV dekhna, cricket, badminton, mobile ya computer game, carrom, foot ball, volley ball, chess, hockey, tennis, card, ludo wagairah khelna aur dino mein bhi na jayez o gunaah hai ramzam sharif me aur sakht gunah aur isse rozah bhi makrooh hota hai.

🌀Masla-Gulaab ya itr wagirah sunghna daadhi, mooch mein tel lagana aur surma lagana makhrooh nahi.

🌟Masla-Roze mein miswaak karna makrooh nahi balki jaise aur dino mein sunnat hai roze me bhi sunnat hai.

🌀Masla-Roze me tooth paste,manjan, wagairah istemal makrooh hai aur agar ye cheezein halaq se neeche utar gayi to rozah toot jayega.

🌟Masla-Rozhdar ke liye kulli karne aur naak me paani charhaane me mubaalga karna makrooh hai.

🔴Mubalaga karne ka matlab bhar munh pani le.

🌀Masla-Thandak pahuchaane ke liye kulli karna ya gusl karne makhrooh nahi.

🌟Masla-Munh me thook ikattha karke nigal jaana makhrooh hai.

📙Fazail wa masail Ramzanul Mubarak📙

✏Hafiz o Qari Hazrat Dilshad Ahmed Razvi Sahab Qibla under supervision of Mufti Mehmoodul Ulama Mufti Mehmood Akhter Razvi Sahab qibla khateeb o Iman Haji Ali Kinara Masjid


🔃TO BE CONTINUE....💝
__________________________