Unknown

↪PART- 04 🎯Ramzan Sharif Ke Masle Masail🎯


〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

☀⚠Unn Surton Ka Bayan Jin Mein Sirf Qazaa Laazim Hai~

🌀Masla-Ye Guman Tha K Subah nahi huyi aur khaya,piya ya hum bistari ki baad ko maloom hua k subah ho chuki thi to sirf Qazaa Laazim hai yani iss roze ke badle me 1 rozah rakha hoga.

🌟Masla-Bhoolkar Khaya Piya Ya Humbistari Ki ya Ehtlaam(night fall) hua ya ulti hui aur inn sab surton me ye gumaan kiya k rozah toot gaya ab jaan bujhkar kha liya to sirf qaza farz hai.

🌀Masla-Kaan me Tel Tapkaya Ya naak se dawa chadhayi ya subah ko niyyat nahi ki thi, din me zawaal se pehle niyyat ki aur niyyat ke baad kha liya inn sab surton mein sirf qazaa laazim hai kaffara nahi.



🌟Masla-Gurub samajhkar iftaar kar liya Halaki Din Baki Tha sirf Qaza lazim hai.

🌀Masla-Nabaligh bacche ne rozah rakhkar todh diya to usspar qazaa lazim nahi.

🌟Masla-Ulti aayi ya bhoolkar khaya piya aur inn sab surton mein use malum tha k rozah na gaya phir kha liya to kaffara lazim nahi(qazaa zaroori hai).

⚠Unn surton ka bayan jinme qazaa ke sath kaffara bhi lazim hai

🌀Masla-Ramzan me rozah daar mukallaf(jispar roza farz ho) muqim(jo shaks musafir nahi use muqim kehte hai) ne,K adaaye rozah e ramzan ki niyyat se rozah rakha aur geeza ya dawa khaayi ya paani piya ya koi cheez lazzat ke liye khayi ya pi inn sab surton me qaza ke sath kaffara bhi lazim hai.

🌟Masla- Jis jagah rozah todhne se kaffara lazim aata hai usme shart hai k raat hi rozae ramzaam ki niyat ki ho agar din mein niyyat ki thi aur todh diya to kaffara lazim nahi.

🌀Masla- Kaffara wajib hone ke liye bhar pet khana zaroori nahi, thodasa khaane se bhi wajib ho jayega.

🌟Masla- Tel lagaya ya geebat ki phir ye guman kar liya ki rozah toot gaya phir use kha pi liya jab bhi kaffara lazim hai.

🌀Masla- Jin surton mein rozah todhne par kaffara lazim nahi unme shart hai ki ek hi baar aisa hua ho aur gunaah ka irada na kiya ho warna unme kaffara dena hoga.

🌟Masla- Sehri Ka Niwala munh me tha k subah tulo'o ho gayi aur use nigal gaya kaffara wajib hai.

🌀Masla- Bhoolkar kha raha tha yaad aa gaya aur nigal gaya, kaffara wajib hai.

🌟Masla-Ehtlaam hua aur use maloom tha k rozah na gaya phir kha liya to kaffara lazim hai.

 🌀Masla-Ramzan Sharif ka rozah qasdan (janbujhkar)
Todhne se kaffara laazim aata hai.

⚠Kaffara Ka Bayan

🌟Rozah todhne ka kaffara ye hai k ek raqba (loundi ya gulam) azaad kare aur ye na ho sake jaise iss zamane mein gulam milte nahi to lagatar (pe dar pe) 60 roze rakhe agar ye bhi na kar sake to 60 miskino ko bhar bhar pet dono waqt khana khilaye aur roze rakhne ki soorat mein agar beech me ek dinka rozah choot gaya to ab se 60 roze rakhe pehle ki ginti nahin, 59 rakh chuka tha aur 60va na rakh saka , bimari wagairah kisi uzr se to phir se 60 roze poore lagatar rakhe. Pehle roze shumar na hoge albatta aurat ko agar haiz ki wajah se jitne naaga(gap) hue ye nahin geene jayenge yaani pehle ke roze aur haiz ke baadwale roze dono milkar 60 ho jane se kaffara ada ho jaayega.

⚠Kaffara Lazim Hone Ki Shartein

🌀Rozah todhe se kaffara lazim hone ki chand shartein hai ke jab ye sab payi jayegi tab kaffara laazim hoga warna nahi.

1⃣Ramzan ke mahine mein ramzan ka rozah adaa karne ki niyyat se rozah rakha ho.

2⃣Rozah dar muqim ho musafir nahi.

3⃣Mukallaf(aaqil o balig) ho to agar bacche ya pagal ne todha to kaffara nahi.

4⃣Raat hi se roza e ramzan ki niyyat ki ho to agar din mein niyyat ki phir use todh diya to kaffara nahi.

5⃣Rozah todhne ke baad koi aisa amr na waaqey hua ho roze ke khilaaf ho jaise aurat ko haiz wa nifas aa gaya ho, ya rozah todhne ke baad itna bimaar ho gaya ho k use rozah na rakhne ki ijaazat ho to kaffara lazim na hoga.

📕Fazail Wa Masaile Ramzanul Mubarak📕

✏Hafiz O Qari Dilshad Ahmed qadri sahab Mahim sharif under supervision of Mufti Mehmoodul Ulama Mufti Mehmood Akhter Razvi Sahab qibla khateeb o Iman Haji Ali Kinara Masjid.


🔃TO BE CONTINUE....💝
__________________________