Unknown

↪PART- 01 🎯Ramzan Sharif Ke Masle Masail🎯 〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
🌀Masail E Fiqhiya

🌟Rozah Bhi Misl Namaaz Ke(Namaz Ki Tarah)Farze A'in Hai - Iski Farziyat Ka Inkar Karne Wala Sakht Gunehgaar Aur Dozakh Ka Mustaheeq(Haqdaar) Hai. Jo Bachche Rozah Rakh Sakte Hai Unko Rakhaya Jaaye.

🌀Roze Ki Tarif

🌟Rozah Urfe Shara'a Musalmaan Ka Ibadat Ki Niyyat Se Subah Saadiq Se Gurub E Aaftaab Tak Apne Ko Jaan Bujhkar Khaane Peene Aur Jima'a (Hum Bistari)  Se Baaz Rakhne Ko Kehte Hain.

🌀Roze Ki Niyyat Ke Masail



🌟Masla- Adae Rozahe Ramzaan aur nazre mu'aiyyan aur nafl ke roze ke liye Niyyat Ka waqt gurube aaftab se Zuhuwe Kubra(shuru zawaal) Tak Hai.

🌀Masla- Zuhuwe Kubra(Shuru Zawaal) Niyyat Ka Waqt Nahin Balke isse pehle Niyyat ho jaana zaroori hai aur khaas Zuhuwe Kubra ke waqt Niyyat Ki to Rozah Na hua.

🌟Masla- Niyyat Dil Ke Irade Ka Naam Hai,Zubaan Se Kehna Shart Nahi Magar Zubaan Se Keh Lena Mustahab Hai.

🌀Masla-Agr rat me niyyat kare to ye kahe

نویت أن أصوم غدا لله من فرض رمضان هذا

🌟Aur din me niyyat kare to yun kahe

نویت أن اصوم هذا اليوم للہ تعالى من فرض رمضان

🌀Masla- Raat me Niyyat ki phir uske baad raat hi me khaya piya to Niyyat Nahi Gayi, wahi pehli hi niyyat kaafi hai phir niyyat karna zaroori nahi.

🌟Masla- Din Mein Niyyat Kare To zaroori hai ke Niyyat kare k main subha sadiq se rozahdar hu agar ye niyyat hai ke abse rozahdar hu subha se nahin to roza na hua.

🌀Masla- Din mein woh Niyyat Saheeh Hai K subah sadiq se niyyat karte waqt rozah ke khilaaf koi amr na paaya gaya ho- lihaza agar subah sadiq ke fauran baad qasdan yani jan bujhkar khaya , piya uske baad roze ki niyyat ki to rozah na hua aur agar subah sadiq ke baad bhool kar khaya piya ab niyyat ki to rozah ho jayenga.

🌟Masla- Rozah Todhne Ki niyyat se rozah nahin tutega jab tak todhne wali cheez na kare roza todhne ka pakka irada kya magar todha nahi to rozah saheeh hai.

🌀Masla- Agar Raat me roze ki niyyat ki phir pakka irada kar liya ke nahi rakhega to woh niyyat jaati rahi agar nayee niyyat na ki aur din bhar bhooka pyaasa raha to rozah na hua.

🌟Masla- Sehri Khana Bhi Niyyat Hai chaahe ramzaan ke roze ke liye ho ya kisi aur Rozah Ke Liye.

🌀Masla- Sehri Khaate Waqt ye irada hai ke subah ko rozah na hoga to yeh sehri khaana niyyat nahi.

🌟Masla- Adae Ramzan Aur Nazrein Mo'aiyyan Aur Nafl Ke Alawa Baaqi Roze Maslan Qazae Ramzaan Aur Nazre Gair Mo'aiyyan Aur Nafl Ki Qaza( Yani Nafl Rozah Rakhkar Todh Diya Tha Uski Qaza) inn Sab Mein Ain (exactly) subah Chamakte Waqt Ya Raat Mein Niyyat Karna Zaroori Hai.

🌀Masla- Gurube Aftaab Se Zuhuwe kubra( shuru zawaal) tak sirf 3 qism ke roze ki niyyat ho sakti hai.

1⃣ Adae Ramzaan
2⃣Nazrein Mo'aiyyan
3⃣Nafli Roze

🌟Inke alawa jitne roze hain maslan- Qazae ramzaan wagairah to inki niyyat ka waqt gurube aftaab ke baad se subah sadiq ke chamakte waqt tak hai. To agar kisine ramzaan ke qaza roze ki Niyyat subah sadiq ke baad ki,rozah na hua.

📕Fazail Wa Masaile Ramzaanul Mubarak📕

💟Muratib-Hafeez O Qari Hazrat Dilshad Ahmed Qadri( Dilshade Millat Sahab Qibla) under supervision of Mufti Mehmoodul Ulama Mufti Mehmood Akhter Razvi Sahab Qibla.

⚠Note- Group ke membero se request hai ke bohat se ramzan sharif ke masle masail bheje jayenge pls ye upar wala msg aap copy karke memo ya note app me paste karle jisse aap ramzan sharif me refer kar sako.


🔃TO BE CONTINUE....💝
__________________________