〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
☀⚠Unn Cheezon Ka Bayan Jis Se Roza Na Tootta-
🌀Masla- Bhool Kar khaya, piya, hum bistari ki, rozah na toota chaahe wo rozah nafli ho ya farz.
🌟Masla- Kisi rozdar ko bhool kar khaate peete dekhe to yaad dilana wajib hai, yaad na dilaya to gunehgar hoga.
🌀Masla- Makkhi Ya dhua, ya gubaar halaq me jane se rozah nahi tootta.
🌟Masla- Tel ya surma lagaya to rozah na toota agarche tel ya surma halaq me mehsoos hota ho balke thook me surne ka rang bhi dikhayi deta ho jab bhi nahin tootta.
🌀Masla- Gusl kiya aur pani ki thandak andar mehsoos hui, rozah nahi toota.
🌟Masla- Kulli Ki aur pani bilkul phek diya sirf kuch tari munh mein baaki reh gayee thi, thook ke sath use nigal gaya, rozah nahin toota.
🌀Masla- Kaan me pani chala gaya rozah nahi toota.
🌟Masla- Tinke se kaan khujaya aur uss tinke par kaan ka mayl lag gaya phir wahi mayl laga hua tinka kaan mein daala agarche chand baar kiya ho, rozah na toota.
🌀Masla- Daanton se khoon nikalkar halaq tak pahuncha magar halaq se niche na utra to rozah na toota aur agar halaq se niche utra magar itna kam tha k halaq mein mazah mehsoos na hua jab bhi rozah na toota.
🌟Masla- Thook, Balgum, naak ki reet wagairah nigalne se rozah nahin toota.
🌀Masla- Bhoole se Khana kha raha tha yaad ate hi fauran luqma phek diya ya subha sadiq se pehle kha raha tha aur subha hote hi ugal diya, rozah na gaya aur Nigal gaya to dono surton me rozah jata raha.
🌟Masla- Ehtlaam(night fall) hua ya geebat ki to rozah na gaya agarche geebat bahut sakht kabeera hai.
🌀Quran e majid mein geebat karne ki nisbat farmaya jaise apne murda bhai ka gosht khana(surah E hujraat aayat 12)
🌟Hadees mein farmaya geebat zina se bhi sakht tar(bahut sakht) hai agarche geebat ki wajah se roze ki nooraniyat jati rehti hai.
🌀Masla-Janaabat( Napaki) ki halat mein subha se agar saara din naapak raha, rozah na gaya magar itni der tak qasdan gusl na karna k namaz qaza ho jaye gunah wa haraam hai. Hadees mein hai k junub (napaki) jis ghar mein hota hai usme rehmat ke farishte nahin aate.
🌟Masla-Daanton me koi cheez chane se kam thi aur use nigal gaya, rozah na toota.
🌀Masla-Injection gosht mein lagwaya jaaye ya rag mein,dono surton mein rozah na tootega.
🌟Masla-Ankhon me dawa dalne se rozah nahi tootta.
🌀Masla- Khoon Nikalwane ya chadhwaane se rozah nahin tootta isi tarah glucose
Chadhane se bhi nahi tootta.
🌟Masla- Qasdan qai(ulti) ki, agar munh bhar na ho to rozah na tootega.
🌀Masla- Be ikhtiyar qai(ulti) ho gayi to thodi ho ya zyada, rozah na toota.
🌟Masla- Khud bakhud ulti huyi phir use nigal gaya to agar munh bhar na ho rozah na tootega.
🌀Masla- Balgum ki qai kitnihi ho usse rozah na tootega.
🌟Masla- Rozedar ke jism par zakhm hai aur usse peep baha to rozah na gaya.
🌀Masla- Roze ki haalat me itr lagaya ya usko soonga ya phool soongha ya baal katwaya ya nakhun kaata ya sar ya badan me kisi aur hisse par baam ya tel ki maalish ki ya powder wa cream wagairah lagaya to inn sab surton me rozah na gaya.
🌟Masla- Roze Ki Halat me ankh ka operation karaya ya aur kisi azu(parts) ka operation karaya,rozah na gaya.
🌀Masla-Aansu ya paseena munh mein chala gaya aur use nigal gaya to agar qatra 2 qatra hai rozah na toota.
📕Fazail wa masaile Ramzanul mubarak📕
✏Hafeez Dilshad Ahmed sahab qadri(mahim sharif) under supervision of Mufti Mehmoodul ulama Mufti Mehmood Akhter Razvi Sahab Qibla khatib o Imam Haji Ali Kinaara masjid
🔃TO BE CONTINUE....💝
__________________________