Unknown

Jahannam Ke Thekedaar [Part 09]

Jahannam Ke Thekedaar [Part 09]




Ahle Deoband-Wahabiyat Ka Mazhab.



Deobandi Hazraat Ke Muqtada Maulana Rasheed Ahmad Gangohi Ke Khaas Shagird Maulana Ali Husain Sahib Apni Tafseer"Bul Gatul Hairaan"Me Likhta Hai Ki



Aur Insaan Khud Mukhtar(Aazaad)Hai Achhe Kaam Kare Ya Na Kare Aur ALLAH Ta'la Ko Pahle Se Koi Bhi Ilm Nahi Hota Ki Kiya Karenge Balki ALLAH ta'la Ko Unke Karne Ke Baad Malum Hoga,Aur Aayat E Qurani Jese Ki Wal-Ya-Allamal- Ladina (Para No.4, Surah Aale Imraan Aayat No.167) Aur Bohot Si Ahadise Isi Mazhab Par Muntakib Hai"



Bul Gatul Hairaan, Matbua Himayat e Deen,Press Lahore, Safa No.157/158



Ahle Sunnat Wal Jama'at Barelvi Mazhab



Alhamdolillah Azzawazal Hum Barelvio Ke Nazdik Ilm E Ilaahi Ka Munkir Kafir Hai...



Dekhiye Sharah E Fiqah E Akbar Safa No 201



"Jis Shaks Ka Yeah Aetiqa'd Ho Ki ALLAH ta'la Kisi Chiz Ko Uske Waqe Hone se Pahle Nahi Janta Woh Kafir Hai "



Aayat E Karima Fala-Allamal-Ladina Iss Aayat Ka Ma'na Yeah Ki ALLAH ta'la Ne Munafiqo Ko Maumineeno Se Aur Gair Mujahedin Ko Mujahedin Se Abhi Tak Juda Nahi Kiya,  Aainda Ilm E Ilahi Ke Mutabik Juda Kar Diya Jayega



Bukhari Sharif Ki Jild Sa'ni,Safa No.703



Par Markum Hai Jiska Tarjuma Hai Ki



"Is Aayat Ka" Yeah Matlab Hargij Nahi Ki khuda E Aalimo Khabeer (YaniALLAH azzawazal) Inka Ilm Nahi. ALLAH Ta'la To Har Chiz Ko Janta Hai



Dekha Dosto Ab Aap Hi Faisla Kijiye Ki Kon Haq Par Hai Aur Kon Nahii...



Ahle Deoband Ka Mazhab



Inke Akabeer Ka Kahna Hai Ki ALLAH Ta'la Juth Bol Sakta Hai Aur Uske Liye Juth Bolna Mumkin Hai..



Inke Muqtada Aur Inke Imam O Peshva Maulana Rashid Ahmad Gangohi Apne FATAWA E RASHIDIYA Me Likhtey Hai



Mazhab E Ahle Jami'i Muhaqqiqin E Islam O Sufia E Kiram Aur Ulma E Izam Ka Iss Mas'le Me Yehi Kizb Dakhile Tahate Qudrat Ba'ri Ta'la Hai (Yani Khuda Chahe To Juth Bol Sakta Hai"



Fatawa E Rasheediya Jild No.1 Safa No.19



Ahle Sunnat Wal Jama'at Ka Mazhab



Alhamdolillah Azzawazal Hum Ahle Sunnat Wal Jama'at Ke Nazdik Aesa Aqeeda Rakhna Kufr Hai



☀Continue