Jahannam Ke Thekedaar [Part 07]
Aaj Bhi Dosto Ek Baat Jaan Le Ki Ahle Sunnat Wal Jama'at Aur Deobandi Wahabi Me Ikhtelaaf Ki Wajah Koi Dunyavi Nahi Balki In Deobandi-Wahabi Akabir Ulma E Kiram Ne ALLAH Azzawazal Aur Nabi Sallallaho Alayhe Wasallam Ki Shaan Me Aese Aese Jumley Likhe Aur Kahe Hai Jo Sarasar Gustakhi Aur Kufr Hai ....
Tazim E Rasool Quran Ul Karim Se
Hume Jo Ilm E Din Yani ALLAH Azzawazal Ki Shifat , Malaika , Jannat Jahannam Tamam Baato Ka Ilm Tazdaar E Madinah Sallallaho Alayhe Wasallam Ne Hume Ata Farmaya Aur Tamam Musalmano Ke Nazdik Apne Din Ka Khulasa Nabi E Kaunain Sallallaho Alayhe Wasallam Hai..
ALLAH Azzawazal Quran E Paak Me Irshaad Farmata Hai -
يا أيها الذين آمنوا لا ترفعوا أصواتكم فوق صوت النبي ولا تجهروا له بالقول كجهر بعضكم لبعض أن تحبط أعمالكم وأنتم لا تشعرون
Aey Imaan Walo Buland Na Karo Apni Aawazey Nabi E Karim Sallallaho Alayhe Wasallam Ki Aawaz Par Aur Na Inkey Sath Bohot Jor Se Baat Karo Jese Tum Ek Dusre Se Aapas Me Jor (Loudly) Bola Karte Ho Kahi Aesa Naho Ki Tumhara Kiya Karaya Sab Akaarat Jaye Aur Tumhe Khabar Bhi Nahi "
Para No.26,Surah Hujuraat Aayat No.2
Aur Isi Ke Sath Ki Dusri Aayat E Mubaraka Me ALLAH Azzawazal Ne Farmaya -
إن الذين يغضون أصواتهم عند رسول الله أولئك الذين امتحن الله قلوبهم للتقوى لهم مغفرة وأجر عظيم
Beshak Jo Log Apni Aawaze Pasht Kartey Hai Rasulallah Sallallaho Alayhe Wasallam Ke Nazdik Wo Aese Log Hai Jinke Dilo Ko ALLAH Ta'la Ne Parkh Liya Hai ,Unke Liye Bakhsis Aur Bada Sawaab Hai "
Surah Hujuraat Aayat No.3
ALLAH Ta'la Tisri Aayat E Mubarak Me Irshaad Farmata Hai -
إن الذين ينادونك من وراء الحجرات أكثرهم لا يعقلون
ولو أنهم صبروا حتى تخرج إليهم لكان خيرا لهم والله غفور رحيم
☀Aey Nabi Sallallaho Alayhe Wasallam Jo Log Aapko Rehne Ke Huzrey Ke Baahar Pukartey Hai Inmese Aksar Beaqal Hai Agar Ye Log Itna Sabra Kartey Ki Aap Khud Apne Huzro Se Nikal Kar Inki Taraf Tashrif Le Aatey To Inke Haq Me Bohut Bahtar Hota Aur ALLAH Ta'la Baksnewala Meherban Hai "
Surah Hujuraat Aayat No.4-5
Ab Jara Sochiye Ki Sultan E Do Jaha Sallallaho Alayhe Wasallam Ki Bargah Me Unchi Aawaz Se Pukarne Ka Yeah Gunaah Hai To Taazdaar E Sahaba Sallallaho Alayhe Wasallam Ki Bargah Me Kufr Gustakhi Aur Tauhin Ka Kya Azaab Hoga
Continue