Unknown

Itikaf Ka Bayaan Part-09


▫Post--09 ☪Itikaf Ka Bayaan☪

بسم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلام عليك يا رسول الله ﷺ

*▶Sawal-Aetikaf ke dauran Akhbar wa Rasail padhna kaisa hai*

🔄Jawab- Akhbaraat me chunki jaandaron ki tasviren hoti hain balki filmi Ash'haraat se umuman par hote hain lihaza Aetikaf ki halat me Ahtiyat hi farmayen.

📚:- Aurton ke masail,p-211



*▶Sawal-Aetikaf ke dauran khane pine ka kya hukm hai*

Jawab- Aetikaf ke dauran khane pine me khas Ahtiyat kare khususan Aalu,chhole,dahi bade or digar chtkhare dar khano se bache, ho sake to bhuk se bhi kam khayen piyen ke isse hazma bhi durust rahega or nind ka galba bhi kam rahega ibaadat me bhi surur aayega.

Imam gazali Rehmatullah Alaih kimaye sa'aadat me naqal karte hain ke Nabi kareem صلى الله عليه وسلم   ne irshad farmaya ! Allah taala kam khane wale par fakhr karta hai or farishton se farmata hai ke aye farishton tum gawah ho jae- usne jitne luqme kam khaye hain use har luqme ke badle jannat me 1-1 darja Ata farmaunga.

📚:- Aurton ke masail,page-212

🔄 To Be Continue...🔜🔜
___________________________
✴Post By :- Dars E Fiqah WhatsApp Group@ +917411257449