Unknown

Huzoor ﷺ Wisaal Ke Baad Bhi Zinda Hai [Part-2]

Huzoor ﷺ Wisaal Ke Baad Bhi Zinda Hai

✔Hadees No.2

Hazrate Ayesha Siddiqua رضي الله عنها Se marvi hai ki main is hujre jis me Rasoolullah ﷺ ki Qabre Anwar hai yun hi nange sar aati jati thi ki ek qabr mere Shauhar ki hai Yani Rasoolullah ﷺ  aur dusri qabr mere walid  ki hai Yaani Hazrate Abu Bakr Siddique رضي الله عنه  ki aur jab se isme Hazrate Umar رضي الله عنه  dafn kiye gaye  hai to main jab kabhi bhi main aati hu to sharm wa haya ki wajah se chadar khoob lapet kar aati hu.
📘 Mishkat Safa 154

➡ Is Hadees Shareef se khoob wazeh ho gaya ki Hazrte Ayesha Siddiqua رضي الله عنها  ka Aqeeda yahi tha ki Khuda e Ta'ala ke Makhsus bande baad wisal apni qabro se aise dekh rahe hai jaise zindagi me mulahiza farmate the warna Rasoolullah ﷺ  aur Hazrate Abu Bakr رضي الله عنها  ki Qabre  Anwar par Shohar aur walid hone ki bina par be pardah aana aur Hazrate Umar رضي الله عنه ke wahan dafn hone ke baad parde ke sath aane ka aur kya matlab hai ??

🌴Tu Zinda Hai Wallah,Tu Zinda Hai Wallah
Meri Chashme Aalam Se Chhup Jaane Wale🌴