Unknown

Huzoor ﷺ Wisaal ke baad bhi Zinda Hai [Part-1]

Huzoor ﷺ Wisaal ke baad bhi zinda hai 🔳

✔ Hadees No.1


Hazrate Abu Darda رضي الله عنه Kahte hai ki Rasoolullah ﷺ ne irshad farmaya ke Jumma ke din mere upar Durood Shareef padha karo...ye haazri ka din hai is din Farishte Haazir hote hai aur jab koi mere upar Durood padhta hai to uska Durood mere upar pesh hote rehta hai jab tak wo padhta rehta hai . Hazrate Abu Darda رضي الله عنه ne Arz kiya  Aap ke duniya se rukhsat hone ke baad bhi to Rasoolullah  ﷺ ne irshad farmaya beshak Allah Ta'ala ne zameen ke liye Haraam kar diya hai ki wo Ambiya Ke Jism ko khaye...Allah Ke Nabi Zinda Rehte hai aur unhe Rizq Diya jata hai .

📔 Ibne Majah Safa 119
📘 Mishkat Safa 121

➡ Ye Hadeese Pak Is aqeede ke liye Bilkul Sahih wa saaf hai ki Rasoolullah ﷺ ki hayate zaahiri aur baad wisaal ke kisi kism ka koi farq nahi hai

🌴 Momino Padhte Raho Tum Apne Aaqa par Durood
Hai Farishto (n) Ka Wazeefa Assalato Wassalam 🌴