GUSL KA BAYAAN ; 【Part -12 】
♈GUSL KIN CHEEZON SE FARZ HOTA HAI ?
✅Ihtilaam..
🚨Yani sote (sleep) se utha aur Badan ya Kapde par Taree Paai aur us Taree ka Manee ya Mazee hone ka Yaqeen Ya Shak ho to Gusl Wajib hai..
✨Agarche Khawaab yaad na ho Aur agar yaqeen hai ki yeh Manee Nhi hai aur na Maze Balki Pashina ya Wadee ya kuch aur hai to Agarche Ihtilaam yaad ho aur Inzaal (Yani manee ka nikalna)
ka Mazaa Dhayaan me ho Gusl nhi aur Manee na hone par Yaqeen karta hai aur Mazee ka shak hai to Agar Khawaab me Ihtilaam yaad Nhi to Gusl Nhi Karna hai,
✅Mas'ala :-
🚨Agar ihtilaam yaad hai Magar Uska koi Asar kapde Wagairah par nhi to gusl wajib nhi,
✅Mas'ala :-
✨Agar sone se pahle Shahwat Thi aur Zakar Khadha tha Ab jaga aur Ihtilaam ka Asar paya aur Mazee hone ka zyada guman hai aur Ihtilaam Yaad nhi to Gusl Wajib Nhi aur jab tak Uske Manee hone ka yaqeen na ho jaye aur agar sone se pahle shahwat hi na thi ya thi Magar sone se pahle dab Chuki thi aur jo Nikala use Saaf kar chuka tha to manee ke Yaqeen ki zaroorat nhi Balki Manee ke Shak se hi Gusl Wajib ho jayega,
🚨Yeh Mas'ala zyada waaqe hota hai aur log isse Bekhabar hain is liye is cheez ka dhayaan rakhna zaroori hai,
✅Mas'ala :-
✨Beemari wagairah se Behoshi Aai ya Nashe me Behosh Hua aur Hosh aane ke baad kapde yaa badan par Mazee Mili to Wuzoo Wajib hoga gusl nhi..
🚨Aur sone ke baad aisa Dekha to Gusl wajib hai Magar usi shart par ki sone se pahle shahwat na thi,
✅Mas'ala :-
✨Kisi ko khawaab hua aur Manee bahar na nikli thi ki aankh khul gai aur Aale ko Pakad liya ki Manee bahar na hui fir jab tezi Jati Rahi chhorh diya ab Nikali ti gusl wajib ho gaya,
✅Mas'ala :-
🚨Namaaz me Shahwat thi aur Manee Utarti Maloom hui magar abhi bahar na nikali thi ki Namaaz puri ho gai ab Nikali to Gusl wajib hoga
Namaaz ho gai,
✅Mas'ala :-
✨Khadhe Baithe ya chalte hue so gaya Jab aankh khuli to Manee Paai Aisi Soorat me gusl wajib hai,
✅Mas'ala :-
🚨Raat me ihtilaam hua jaga to Asar na Paya Wuzoo kar ke Namaaz padh li Ab uske baad manee nikali to gusl wajib ho gaya lekin Namaaz ho gai,
✅Mas'ala :-
✨Aurat ko khawaab hua to Jab tak Manee farj
(Aurat ke Peshaab ki jagah) ke andar se na nikala gusl wajib nhi,
✅Mas'ala :-
🚨Mard aur Aurat ek 4paai par soye aur Uthne ke baad Bistar par Manee paai Gai aur Unme se har Ek ihtilaam ka inkarkarta hai to Munasib hai ki 2no gusl kar le yehi sahi hai,
✅Mas'ala :-
✨Agar ladka ihtilaam ke sath balig hua to us par gusl wajib hai.
📘Bahare shariat
♻CONTINUE
طالِبِ دُعا💟
جماعت رضا ء مصطفے ﷺ ٰ
💟Jamat Raza E Mustafa ﷺ