GUSL KA BAYAAN ; 【Part -11 】
♈GUSL KIN CHEEZON SE FARZ HOTA HAI ?
🚨Manee ka Apni jagah se shahwat (sambhog, humbistari karne ki khawahish ki haalat ko shahwat me hona kahte hain) ke sath juda ho kar uzw se Nikalna Gusl ke Farz hone ka sabab hai,
✅Mas'ala :-
✨Agar Manee Shahwat ke sath juda na Hui Balki Bojh Uthaane ya Unchaai se Girne ki wajah se nikali to Gusl wajib nhi haan wuzoo jata rahega,
✅Mas'ala :-
🚨Agar manee Apni Jagah se shahwat ke sath Nikali magar us Aadmi ne Apne Aale ko zor se pakad liya ki bahar na Nikali fir shahwat khatm hone ke baad chhorh diya ab manee bahar hui to Agarche Manee ka Bahar Nikalna shahwat se na hua magar chunki apni jagah se shahwat ke sath nikali lihaaza Gusl wajib hai isi par amal hai,
✅Mas'ala :-
✨Agar Manee kuch Nikali Aur Peshab Karne ya 40 Qamad chalne se pahle Nahaa liya aur Namaaz Padhi Ab Baqi Manee Nikali to Nahaana zaroori hai,
🚨KYU ki yeh Usi Manee ka Hissa hai jo Apni jagah se shahwat ke sath juda hui thi Aur Pahle jo Namaaz padhi thi ho gai usko loutane ki zaroorat nhi,
✨Aur Agar 40 Qadam Chalne Ya Peshab karne ya Sone ke baad Gusl kiya fir Manee Bilaaa Shahwat ke nikali to Gusl zaroori nhi aur yeh pahli ka baaqya nhi kahi jayegi,
✅Mas'ala :-
🚨Agar Manee Patali hi Gai ki peshab ke waqt ya waise hi kuch Qarte Bila shahwat Nikalaaye to Gusl Wajib nhi Albatta Wuzoo Toot jayega.
📘Bahare shariat..
♻CONTINUE
طالِبِ دُعا💟
جماعت رضا ء مصطفے ﷺ ٰ
💟Jamat Raza E Mustafa ﷺ