GUSL KA BAYAAN ; 【Part -06 】
✳ HADEES NO.5
🚨 ABU DAUD IBNE MAJA Aur TIRMIZI ABOO HURAIRA RADHIYALLAHU T'ALA ANHU se riwayat karte hain HUZOOR E AKRAM ﷺ Farmate hain ki har Baal ke Neeche Janaabat hai to Baal Dhowo aur jild saaf karo.
✳ HADEES NO .6
✨ ABOO DAAUD ne HAZRATE ALI RADHIYALLAHU T'ALA ANHU se riwayat ki hai ki HUZOOR E AKRAM ﷺ farmate hain ki jo shakhs gusle Janaabat me ek baal ki jagah be Dhoye chhorh Dega aap me Aisa Aisa kiya jayega (Yani Azaab diya Jayega)
🚨 HAZRATE ALI RADIALLAHU TA'ALA ANHU Farmate hain ki isi wajah se maine Apne sar ke Sath Dushmani kar li,
3 baar yehi Farmaya Yani sar ke baal Munda Daale ki baal ki wajah se koi jagah sukhi na rah jaye.
📕 Bahare shariat
✳ HADEES NO. 7 :-
✨ Asahabe Sunne Arba'aa ne UMMUL MOMINEEN SIDDEEQUA
RADIYALLAHU T'ALA ANHA se riwayat ki hai ki HUZOOR E AQDAS ﷺ gusl ke baad wuzoo nhi farmate.
📕 Bahare shariat
✳ HADEES 8 :-
🚨 Aboo daaud ne HAZRATE YALA RADIYALLAHU T'ALA ANHU se riwayat ki, ki RASOOLULLAH ﷺ Ne ek Aadmi ko Maidan me Nahaate Dekha fir mimber par Tashreef le Jaakar ALLAH ki hamd wa sana ke baad Farmaya ki ALLAH T'ALA hayaa
Farmane wala aur pardaposh hai,
✨ Hayaa aur padra karne ko dost rakhta hai, Jab tum me se koi nahaaye to use parda karna lazim hai.
📕 Bahare shariat
♻ CONTINUE
طالِبِ دُعا💟
جماعت رضا ء مصطفے ﷺ ٰ
💟Jamat Raza E Mustafa ﷺ