Unknown

GUSL KA BAYAAN 【Part -05 】

GUSL KA BAYAAN [PART 05] 


✳ HADEES NO. 3 :-

🚨 BUKHARI WA MUSLIM me UMMUL MOMINEEN AYESHA SIDDEEQA RADIHIYALLAHU T'AALA ANHA se riwayat hai ki Ansaar ki ek aurat Rasool Allah ﷺ se haiz ke baad Nahaane Ke Baare me Sawal Kiya HUZOOR ﷺ Ne Gusl ka Tareeqa Bataya fir Farmaya Mushk Laga hua kapde ka ek Tukda lekar us se tahaarat kar.


✨ Usne arz kiya  kaise Tahaarat Karuin ?

🚨 Aap ﷺ ne Farmaya SUB'HAN ALLAH usse Tahaarat kar UMMUL MOMINEEN farmati hain ki maine use apni taraf khinch kar kaha ki usse khoon ka asar saaf kar.

📕 Bahare shariat

✳ HADEES NO. 4 :-

✨ IMAAM MUSLIM ne UMMUL MUSLAMEEN UMME SALMA RADHI ALLAHU T'AALA ANHA se Riwayat ki Farmati hain ki Maine Arz kiya YA Rasool Allah ﷺ
Main Apne sar ki choti Mazboot Gundhti huin to kya Gusle Janaabat ke liye use khol daaluin ?

🚨Aap ﷺ ne Farmaya nhi Tujhko yehi kifayat karta hai ki 3 lapp pani daal le fir apne upar Bahaa le Paak Ho Jayegi yani jabki baal ki jarhe Tarr ho jayein aur agar itni sakhti se gundhti ho ki jarho tak pani na pahunche to kholna farz hai.

📕 Bahare shariat

♻ CONTINUE
ٰ
💟Jamat Raza E Mustafa ﷺ